जिसने भूख देखी हो वो दाने दाने की क़ीमत जानता है जिसने सही हो नफरते वही तो मोहबत जानता है जिस शख्स से देखे है हादसे असल मायनो में वही तो गुरबत जानता है जिसे मिली हो अच्छी परवरिश वही तो बुज़ुर्गो की खिदमत जानता है ye fiza ye subha ki saba,, ye gulshan upvan madhosh karta hai ye haseen panghat Is nayab gulshan me hai titliyo ka jamghat,, bhanvre kaliyan daaliya karti hai guftgu,, masti me koyal gaati hai ku ku,, aur khushbue bikherti hai qudrat yahan har su,, dil karta h in labo k jaam peeta rahu Aarzu h meri k in zulfo tale jeeta rahu Ye kuch nishaaniya mere paas rehne do Guzri hui kuch kahaniya mere paas rehne do Mere sath gamgeen tum bhi ho jaaogi Ye gham mera hai ise tanha mujhe hi sehne do Chalaki aap apnd paas rakhiye huzoor Mujhme tum ek naadani rehne do Aaj javaan ho kar tagaful karte ho Mere paas vahi bachpan ki prem kahani rehne do Dilo me nafrat ki aag tumne khud lagai h Mere paas tum kagaz ki kashti aur barish ka paani rehne do Talkh alfaaz khoob tum bolo Tabdeel lazeez tehreero me kr dunga Jao tum na sun sakoge Chodo meri ishq bayani rehne do Ye uns ulfat ishq mohbat Tum aankho se samjh hi na sake Kya kahun mai ab zabaani rehne do Us dareena kitab ko mat kholo, sookha ek gulab h usme Samajh jaoge tum ishq mera ab us bat ko jaani rehne do ©qais majaaz,3rdmaster #smog