Tital - Maa Written by Manohar kr.Paswann Mai hoon tera suraj - chanda Mai hoon ankhiyo ka taara Jang jeet ke maut se diya,yeh nav jiwan payara ye nav jiwan payara Huaa samridh mai prem pakar teri sagar ki lahro se nahi chaah mujhe kisi aur ki tu jiwan ki dhara jang jeet ke maut se diya,yeh nav jiwan payara yeh nav jiwan payara dhanya huaa mai pakar teri kaya meri sanse,teri dhadkan nahi koi paraya mol nahi tera, anmol hai tu sada hai tu sukh-dukh me saya jang jeet ke maut se diya,yeh nav jiwan payara yeh nav jiwan payara mai hoon tera suraj -chanda mai hoon ankhion ka taara jang jeet ke maut se diya,yeh nav jiwan payara yeh nav jiwan payara. The end. Maa My_Words✍✍