Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kisse furqat ke jab hum fursat mein bayan karte ha

Kisse furqat ke jab hum fursat mein bayan karte hai,
Zahir na ho Aankhon se, ulfat  kajal mein chupaye rakhte hain...
Safar ashaq- e- motiyon ka hota hai behad gehra,
Tabhi to sar-e-mehfil chalakne se darte hain.
Mohabbat thi jis muskurahat se tumko ,
Amanat ye labon pe har waqt sajaaye rakhte hain...
Hote hain rubaroo aksar khwab mein,
Yun hi nhi sehar mein uthne se hum jhijhakte hain...
Aitbaar khuda ki khudai par is kadar hai magar,
Aazan fajr ki sun kar namaz unki salamati ki ada karte hain...

©JaHan #shab -e-furqat

jahan7477767482918

JaHan

New Creator