chod de saari duniya kisi ke liye ye munasib nahi aadmi ke liye piyar se bhi zaroori kai kaam hain piyar sab kuch nahi zindagi ke liye tan se tan ka milan ho na paya to kiya ? man se man ka milan koi kam to nahi . khushbu aati rahe door hi se sahi. saamne ho chaman koi kam to nahi ? chand milta nahi sabko sansaar me. he diya hi bahut roshni ke liye kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhain kiyun baharon ko fir se bulate nahi ? aik duniya ujadh hi gai he to kiy . dusra tum jahan kiyun banate nahi ? dil na chahe bhi to saath sansaar ke. chalna padta he sabki khushi ke liye zakhm yadon ke dil ko jalate rahain fir bhi raahon me jeevan ki chalte raho. laakh gumnam ho manzilon ke nishan thokre khake fir bhi sambhalte raho badle amrit ke gar zehar milta he jo peena padta he bas dosti ke liye