Nojoto: Largest Storytelling Platform

dark side of justic(kanoon). kia ha kanoon jesa k

dark side of justic(kanoon). 
kia ha kanoon jesa k lafz zahir krta ha aitmaad,mahfooz,pursakoon,pannah asliyat ma b sachai yehi ha k maumla kuch or ha. najanay q hm kanoon ko hi sb sy zayaida la-mahfooz samjhtay hn apnay lia
kia ye gour talab baat nahi ha.
q hamaray hi addaray rishwat,kamchori,or haraam ki kamai jesy kaamoon ki fakhr samjhty hn kia ye b samaaj k lia souchnay ki baat nahi ha.
jin adaroon ka wajood hi janta ki balai or desh ko chlanay k lia hoa ho aakhir q wohi adaaray apnay gr,pariwaar,rishtadaaroon ko hi chlatay rahty hn kia ab b lamha-e-fiqriya nahi ha.
or rahi baat aam janta ki kanoon insaaf deny k lia bnaya tha afsoos sad afsoos insaaf kuch unchay pariwaaroon ki rekhail ban kr rah gai ha.
jisy jb chahtay hn jesy marzi apnay mutlab k lia istemaal krty hn or paoon k nichay rondhtay hoa chlay jaty hn kia ye sb k lia aik parashan nahi ha.
jin loogoon ko insaaf milna tha unko milty ha waqeel ki fees,tareekh,intezaar is k siwa kuch nahi sankroon aisay case hn hamaray desh ma jahaan doshi ki saza kaat'tay kaat'tay maritiyu ho jaty ha bhr aik or sunwai hoty ha or pta chalta ha k doshi doshi hi nahi tha kia ye gour talab baat nahi ha.

©Nabeel Afzal
  #justic#dark#side