Nojoto: Largest Storytelling Platform

Un pehchani aankhon me kuchh sapne palte dekhe hai

Un pehchani aankhon me kuchh sapne palte dekhe hain
thandi ke es thithuran me har sakhs ko jalate dekhe hain
raton me tim-tim taron ke bich ulajhate dekhe hain
kabhi bachate kabhi chhipate bat badalate dekhe hain
25 gaj ki pudiya me kai raz daba ke baithe hain
satarangi duniya kai saaz chhipa ke baithe hain 
diwaron ki silan ki kuchh gandh chhipi hai kamaro me
rishte bhi ab bikhar rahe aur simat rahe hain kamaron me
Mukharji Nagar ki galiyon me kai khwab pighalate dekhe hain
raton me kai tah ke andar kai sapne  jalte dekhe hain

©Sanu Pandey #lonely 
UPSC ki tang galiyan

chandanpandey5579

Sanu Pandey

New Creator