Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tasveer ki hassi mein kitne jhoothh chhipe hain, K

Tasveer ki hassi mein kitne jhoothh chhipe hain,
Koi uss parivaar se poochhe,
Nayya majhdaar se bahar kaise nikli,
Koi patwaar se poochhe,
Kisi maasoom ki cheekh ansuni kyun ho jaati hai,
Koi wahaan lage baazaar se poochhe,
Pagdi ki har parat mein kitni qurbaaniyaan likhi hain,
Koi usey baandhne waale Sardar se poochhe,
Pooche koi iss desh ke hukmraanon se,
Ab bhi kahun 'Saare Jahaan Se Achha' hai mera Hindustan,
Kis hadd tak gir gayi hai insaaniyat,
Koi uss khule ghoom rahe qusoorwaar se poochhe #pain #whatswrongwiththeworld #mycountry_india #poetry #originalpoetry #yqbaba #yqbhaijan