Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ilteja-e-jahan Ho raha tha galat jo ab tk, sahi kr

Ilteja-e-jahan
Ho raha tha galat jo ab tk, sahi krne ka waqt hai bs yahi,
Hindustan sab mazhabon ke khoon se seencha hai, Kisi ki jaati jaidad nahi.
Ba-izzat bashinde (residents) hain hum sab is mulk ke, sawal poochne Ka Kisi ko haq nhi.
Chnd dilon ki nafrat aaj jala rahi hai Hindustan, 
laadhiyan kha rahain hain Taalib-e-ilam(students) koshish mein hifazat-e-samvidhan.
Hindu, Muslim par satta ka khail ho gya hai fail, 
Ab hosh mein hai Aawam.(Citizens)
Mat bhoolo isi Aawam ne banaya tumhe Pardhan, 
jis par jabran thop rhe ho badal kar samvidhan.
Satta ki madhoshi mein mat bhoolo wajood-e-insan.
Dekho nazar ghuma kar zra, ab khaul utha inquilab.
Ab bhi waqt hai thehar jao, maan jao 
Batware ke mansubon(intentions) se aa jao ab baaz.
Bs yhi ilteja(request)Kar raha hai desh ka bacha bacha
Nhi gaa sakainge kabhi hum varna "SARE JAHAN SE ACHHA". # ilteja-e-jahan

jahan7477767482918

JaHan

New Creator