Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kya mila kya khoya ab iska hisaab kya ho hum ajna

Kya mila kya khoya ab iska hisaab kya ho
 hum ajnabi hai ab koi baat ho toh kya ho

Tumhe dekh kar ab main nazare fer lunga
Ab agr mulaqaat bhi ho toh kaho kya ho

Mujhe mar jana chahiye tha bichad kar
Tere haq me baddua ka ab anjam kya ho

Aur ab mujhe yaad hi nahi tera lams bhi
Main teri har yaad se anchua hu toh kya ho

Maine deewaro pe rakhe the diye jala kar
Unhe bujhna tha hawa tez ho toh  kya ho

Ek arse baad tumhe dekha hai qareeb se
Aaj ka din guzara hai phir Qayamat kya ho

Aisa nahi ke tujhse bichad kar khush raha
Main tumse milta Raha magar baat kya ho

Aur hum dono hi is safar ke musafir hai
Ab kisi mod pe mulaqat ho toh kya ho

©Ravina Joshi
  #Raat #alvida #mulakat #mulaqat #Ajnabi #khoya #mila #nazar #qayamat