Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kisne kaha ki bukhar bin dawa ke nahi utarta, Bas

Kisne kaha ki bukhar bin dawa ke nahi utarta,
Bas ek hath ho jo sehla de bojhil kandho par.

Kisne kaha ke raaste alag ho jate hai waqt aane par, 
Bas tham kar chal le waha tak jaha tak anjaam ho.

Kisne kaha sukoon nahi hai zindagi me,
Bas ek nazar samne aa jaye kisi mor par.

Kisne kaha har marz ka ilaaj hai, 
Ek bar kabhi ishq ki bimari lag jaye dil par.

Kisne kaha pagalpan ki nishani hai intezaar,
Bas intezaar ka sabab baith jaye zehen par.

Kisne kaha ki koi khuda se nahi mila, 
Bas nam lo uska thori si ibadat par.

Kisne kaha ishq me ruhaniyat nahi hoti,
Bas uska deedar ho jaye do pal bhar,

Kisne kaha insaan khud se haar kar khush nahi hota,
Bas ek bar khudko uske naam kar do zindagi bhar.

©Ananta Dasgupta #SunSet

anantadasgupta7138

Ananta Dasgupta

New Creator
streak icon32