Nojoto: Largest Storytelling Platform

Na urooj ki aarzoo hai na zavaal ka khauf hai Na j

Na urooj ki aarzoo hai na zavaal ka khauf hai
Na jawaab dena chahta hun na sawaal ka khauf hai
Zindagi mein chahiye nahi kuch sukoon ke siwa
Na mehlon ka shonq hai na havaal ka khauf hai
Nahi lagata dil ab main zamane mein kisi se
Koi chhor dega mujhe iss khayaal ka khauf hai
Mohabbat karne se pehle nahi aata kisi ke zehn mein
Ye samaaj ka khauf bhi kamaal ka khauf hai

#KamalViraktFalak

©Kamal Kant Sharma
  Khauf
#love #life #mohabbat #SAD #pyaar #Shayar