Aayina Aayina bhi waqt bataata hai, Khud ki tasveer dikhaata hai, Tab kaisa tha, ab kaisa hai, Antar tujhko batlaata hai.... Kyu isko jhutha bol raha hai Khud ko heeron me tol raha hai Mitti hai tu Mitti me hi tujhko mil jaana hai Phir kyu itna chillana , aur kyu itna hungama hai.... Aye insaan sach ye hai ki tu khudpe hi sharminda hai, Phir bhi dhindhora peet raha hai kambakht aayina ganda hai, Karta tha tab, ab karta hai jo wohi tera dhandha hai, Phir kyu hai khud se hi khafa, kyu khud se hi sharminda hai.... Ye tera ghumaan hi toh hai jo ab tak tu zinda hai, Aur abtak waqt ki qaid me hai, Ye hargiz teri galatfehmi hai, Ki tu azaad parinda hai.... Teri bhookh hi tera qaatil hai Tu apne hi qatl me shaamil hai Tu yaar bada beimaan hai Kya kahein, aakhirkaar tu insaan hai.... #yqquotesbaba #yqbaba #yqdidi #sarcasm #thoughts