White Pata nahi kyu aj teri bahut zarurat hai aa jao na ek hawa ka jhonka bankar pas baithkar kuch bate karte hai, kuch pareshaniya baant lete hai . aa jaye jo nami kisi ki ankhon me , un keemati motiyon ko sanjo kar , phir se khulkar thoda has lete hai . dhunti hai ye najre tujhe har pahar. aa jao na ek hava ka jhonka bankar. tujhe kareeb se mahsus karna hai, teri ankhon me bas kho jana hai . tere bina tujhse hi bate karna hai, sayad yahi tere hone ka ayat hai. ab in band ankhon ko kholna hai.. aur inhe kholte hi ho jaye tera didar aa jao na ek hava ka jhonka bankar.. ©Tanya gupta #zarurat