Nojoto: Largest Storytelling Platform
ambikeshsingh7475
  • 13Stories
  • 42Followers
  • 100Love
    179Views

Ambikesh Singh

If u want real happiness in ur life then *produce respect and forget expect*🤗

  • Popular
  • Latest
  • Video
0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Haste hue insan ka gam
kisne dekha hai
Jindgi hai hi aise babu ki
Kisi k lia aabhusan
To kisi k lia khillona hai😕 #khushi
0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Apni hi chijon p hum itraya nhi karte 

Jeete hai youhi huk se
Apni hi jeet per hum muskuraya nhi karte

Jinke lia hum kuch nhi
Unpe hum apna samay jaya nhi karte

Kitne bhi ho nasamajh wo 
Ab unhe hum samjhaya nhi karte

Bekar ki dhuno p ab hum gungunaya nhi karte
Wakt hai kimti ab jaya nhi karte

Apni hi chijon p hum itraya nhi karte #Apni hi chijon p hum itraya nhi karte

#Apni hi chijon p hum itraya nhi karte

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Alone  Toota ,foota ,sambhla, jana 
Ek bar fir se bikharne k lia

Jhootha, mutha, rutha, jana 
Ek bar phir se bujhne k lia

Sach, jhooth, sahi, galat jana 
Ek bar phir se sunne k lia

Ab himmat nhi hai mujhme 

Phir se bikhar jane ki
Tere inhi baton m ulajh jane ki 

Ab himmat nhi hai mujhme 

Dar dar thokar khane ki 
Yuhi sahte jane ki

Ab himmat nhi mujhme 

Kuch bhi bta pane ki 
Tumhe sambhal pane ki

Ab himmat nhi mujhme 

Yun hi rote jane ki
Ab aur kuch sun pane ki

Ab himmat nhi mujhme😞 #Ab himmat nhi mujhme😞

#Ab himmat nhi mujhme😞

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Alone  Ye wahi kandha hai jo sambhal bhi leta hai 
Ye Wahi kandha hai jo khyal bhi deta hai

Mile sahara jo sahi kandhe ka to nikhar de ye jindgi
Mile sahara jo galt kandhe ka to bikheer dega ye jindgi

Kandha wo sahara hai jo uchai bhi deti hai
Kandha wo sahara hai jo burai bhi deta hai

Ye kandhe ka hi kheel hai jo phale jivan sambhal deta hai phir samshan thel deta hai

Ye wahi kandha hai jo sambhal bhi leta hai 
Ye Wahi kandha hai jo khyal bhi deta hai #Ye wahi kandha hai jo sambhal bhi leta hai

#Ye wahi kandha hai jo sambhal bhi leta hai

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Mat ho majboor itna ki duniya fayeda uthaye 
Lad , jhagad aur cheen le sab jo tera ban jaye

Mat kho suror me itna ki tu majak ban jaye
Ban mishal aisa ki logon k khyal me aye

Mat reh bandishon m itna ki tu bandhak ban jaye
Jee aise ki auron k lia mishal ban jaye

Mat chal un rahon pe jo tujhe manjil na dikhye
Doodh wo rasta jo asma me majil banaye

Mat sun un baton ko jo tujhe bilkul na bhaye
Kar aise bat jo sabke dil ko chuu jaye

Mat ho majboor itna ki duniya fayeda uthaye 

Mat ho majboor itna ki duniya fayeda uthaye .. #Mat ho majboor itna ki duniya fayeda uthaye

#mat ho majboor itna ki duniya fayeda uthaye #poem

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

 #lo hum soo chale

#Lo hum soo chale

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Sari raat beet jayegi 
Neend nhi ayegi

Pooch pooch kr wo mera haal 
Khud so jayegi

Unhi baton ko soch kr 
Ye palken bheeg jayenge

Sari raat beet jayegi 
Neend nhi ayegi

Roo roo kr sari raat 
Aken sooj jayengi

Ed din Khuli akhon k saath
Ye Saasen tham jayegi

Sari raat beet jayegi 
Neend nhi ayegi #neend nhi ayegi

#Neend nhi ayegi

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

Mohhabt to hum apne aapse se bhi nhi karte unse kya karenge
Ab to sikyat bhi hum apne aap se bhi nhi karte 
Unse kya karenge

jarurat ban chuki hai ye jindgi warna ibadat to hum apne aap se bhi nhi karte ,
unse kya karenge



Mohhabt to hum apne aapse se bhi nhi karte
unse kya karenge #unse kya karenge

#Unse kya karenge

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

#OpenPoetry MUJHE KISI AUR KI KYA JARURT

Jo mera hai mai usme khush hoon
Mujhe kisi aur ki kya jarurt

Jo mujhme hai wo mai hoon
Mujhe kisi aur ki kya jarurt

Adhura hoon phir bhi poora hoon
Mujhe kisi aur ki kya jarurt

Akela hoon phir bhi jinda hoon
Mujhe kisi aur ki kya jarurt

Jo beeta hai, wo jeeta hoon
Mujhe kisi aur ki kya jarurt

Akele hi rota hoon aur hasta hoon 
Phir bhi
Mujhe kisi aur ki kya jarurt #MUJHE KISI AUR KI KYA JARURT

#Mujhe KISI AUR KI KYA JARURT #OpenPoetry

0d3deab44119e0ac8fe415321ed3a1b5

Ambikesh Singh

*Jb ek stri apna drd batati hai to sab ka dil kurad jati hai*


dari si ,sahmi si, rote hue bujhi akhon se apna hal sunati hai

Samaj ki apangta, napunkshta aur kururta ka hal batlati hai

Is bejan bujhi se duniya me jeene ki ek aas    jagati hai

Na chahte hue bhi    sab kuch sah jati hai


*Jb ek stri apna drd batati hai to sab ka dil kurad jati hai*


Pariwarik bandhno m bandh kr bhi apna kartavya nibhati hai

Sabke jhoothe iljam, aarope aur dard chup chap sahti jati hai 

Iss farebi duniya me apne priwar ko bachate hue ek sath bandh jati hai

Sab kuch sahte hue bhi sabko muskurana shikhati hai


*Jb ek stri apna drd batati hai to sab ka dil kurad jati hai* #ek stri

#Ek stri

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile