Nojoto: Largest Storytelling Platform
yusufzaidi5259
  • 13Stories
  • 11Followers
  • 72Love
    47Views

Yusuf Zaidi

poetry writer Instagram.id-@yusufzaidi9

  • Popular
  • Latest
  • Video
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Chot lag jaye to bechain ho jati h !
Maa ka dil hai na to ankhe bhar ati h ! by-yusufzaidi ✍️ #nojoto #maa #poetry

nojoto #maa #Poetry

2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Badan pe bojh 
Badhata gya tha malik bhi,....
Use pata tha ki mazadoor hai 
Majboor bhut!!
by Yusufzaidi ✍️ #poetry #nojoto

#Poetry nojoto

2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Khali pet ankh me ansu 
Baitha kinare kuch nhi kehta
Log tamasha dekhte hai bus
Wo to hmesha chup hi hai rehta
Koi jo khane ko de jaye
Man hi man wo duyen hai deta
Ek chadar sath me ek jhola hai
Kahi raah kinare sukoo mila hai
Na ghar ka pata na gharwala hai
Wo insano se kuch to khafa hai
Usko namaz na pooja pta hai
Jo madad kare bus wahi khuda hai
Par uski ye haalat hui hai kaise 
Mere man k andar ye sawal utha hai
By Yusufzaidi ✍️
 #nojotoall
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Paison ki qeemat aaj pata chali
Zindagi or maut k darmiyan kitni dooriyan hai
Is beemari k baad pata chali....




-------
Yusuf zaidi #bakchodi #nojotolines
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Kuch seerhi chadhe kuch seerhi utre!
Hme adhure kaam poora karna tha!
Kuch door chale or chalkar phir ruke!
Manzil door thi hme intezaar karna tha!
by-yusufzaidi ✍️ #nojoto #nojotopoetry #nojotoshayari
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Apne maa baap ka khyal rkha karo,
Bade naseeb walo ko milte h,
Jaise jaise hum bade hote h, 
Unk chehre khushi se khilte h,
Hum khwab saja kr rkhte h,
Wo hmare liye paise ginte h,
Hume zindagi m chot lagti hai,
Unk dil pareshan hote hai,
Hum aas har rhe hote h, 
Wo kehte h nahi beta tum kar sakte ho!
Koi agr unk bacho ko dant de,
Maa bolti h baap ho ap ink liye lad sakte ho!
Ghalti hamari chahe jitni badi ho jaye,
Unka ek hi statement hota h beta! tum sudhar sakte ho😅😂
by-yusufzaidi ✍️ #nojoto #nojotopoetry #poetry #parents
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Desh ki azadi m tum bhool gye balidaan,
Chandra Sekhar ho ya ho ashfaqullah khan,
Bhool gye wo khoon baha tum bhagat singh ka kya,
Bhool gye tum gandhi ji ke anshan ko bhi kya,
Jhaansi ki raani ka balidaan yad b hai,
Shaukat ali ne de di jaan tumko yad b hai,
Lal bhadur , chandra pal, ganga dhar tilak,
Toot gye the ink paaon sookh gye the halaq,
Alekh patra ne de di puri jawani maara gya,
Tum dharm k naam pe Desh ko baato tumhara kya, 
Kyu todne ate ho secularism har baar tum,
Kyu bhool jaate ho in logo ka balidaan tum!!
By-yusufzaidi ✍️ #nojotopoetry #poetry #bhagatsingh
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Kharcha chalane k liye log kya kya nhi karte h!
Paise bachane k liye aksar paidal chala karte h!
Bachon ki fees ho ya maa baap ki dawai!
Bina soche samjhe laga dete h puri kamai,
Biwi ka khyal rakhna rishtadaron se meljol rakhna!
Inhe khoob ata h sabko samete rakhna,
Kiye hue wade ye todte nhi!
Jisse rishte jodte h unse mu modte nhi,
Tuharon pr mithai lana ho ya ghar sajana!
Mehmano se milna ho ya bacho k liye khilone mangana!
Kisi ki aas jaldi todte nhi ye!
Ye hamare baap hote h jaldi toot te nhi ye!!
By-yusufzaidi ✍️ #nojoto #nojotopoetry #baap #father #papa
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

Alone  Ishq!!
Ishq me kya kiya jaye ,
Ishq hai to kiya jaye ,
Teri soorat utarun lafzon me ,
Teri tareef yu kiya jaye ,
Tu jo har roz mujhko takti hai ,
Tujhko bus dekhne diya jaye ,
Dekhna chahta hu mai bhi tujhe ,
Mujhko bhi dekhne diya jaye ,
Meri harkat tujhe pasand nhi ,
Harkaton ko badal diya jaye ,
Tu hai naraz mujhse kyu janam ,
Mujhse kuch baat kar liya jaye ,
Teri chuppi h mujhse kyu itni ,
Ab to khamoshi tod di jaye ,
Tere har lafz ka jawab du mai ,
Teri su se sawal jo a jaye ,
Teri chahat ka nasha yu hai chadha ,
Tujhko dekhu ibadat ho jaye !!
Ishq me.......
Ishq hai....               By-yusufzaidi ✍️ #ishq #love #writer #poetry
2aa62d5e2696f4c0411e3c1aa39cccf6

Yusuf Zaidi

World Poetry Day 21 March Kaghaz ka rang qalam ki siyahi,
jo tum ladkhadana hunar azmana!
             By-yusufzaidi ✍️ #poetry #worldpoetryday
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile