Nojoto: Largest Storytelling Platform
zishanqazimohd7281
  • 813Stories
  • 460Followers
  • 4.0KLove
    854Views

( dil e zisha )

shammaye hasti he masti me parvana he. hamjese fakiro ke thokar me jamana he.. parvaj he jaheno ki kat kat kar jaha girti... bekhof in logo ke mahefil me divana he.

  • Popular
  • Latest
  • Video
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

White suhane dekh najare aur kasti ko sail par lage rahene de
ab agar bich majdhar me jaye ga to fass jayega
sikva he kissi ka ke dar ab bhi ban rakha he sayed, 
nadan meri hasrato ke tapis se tera husn jhulas jayega.

©( dil e zisha )
  #sad_shayari
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

us ki vafao ka etbar jabtak tha,
is dil me uske liye piyar tabtak tha,,
uljhane barti rahi intehaye yas hone tak,,, 
mil hi gaya bahetar usko dil bekarar tabtak tha.

©( dil e zisha ) #snowpark tab tak tha

#snowpark tab tak tha

695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

karna he jitna julum jiyada se jiyada karle,
mita de nisha muhabat ke aur nafrato se vada karle,,
 har lamhe har roj darya samandar se milta he magar,,,
kiya ho ghar samandar bhi darya se milne ka irada karle.
(aafat aajaye gi gar samandar se milne ka irada karle.)

( dil e zisha )

©Zishan Qazi Mohd #grey
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

rafta rafta khud garji ke sache me dhalte chale gaye,
barf ke manind thi khuvahise meri sari pigalte chale gaye,,
chatan ke manind khare rahe apne ousolo par chur hone tak,,,
fir u huva ke wakt ke sath sath ham bhi badalte chale gaye.
jin se dekhe the khuvab saja to milni hi to thi unne,
dard sare fir aasu bankar aakho se nikalte chale gaye.
bandha tha jisme dhaga ishq ka mene tere mere nam ka,
us roj ke bad se us darakht ke sare patte jharte chale gaye.
is rahq ishq me jakhm se nasur banne tak ka safar dekha he,
thakan se chor he magar fir bhi ham zisha chalte chale gaye.


( dil e zisha )

©Zishan Qazi Mohd #selflove
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

kisi ke yad me bikhre huve moti ko bas  u hi zaya kardu,
ya bevafai ke dhup me khudpar gayer ke julfo ka saya kardu,,
is muskurate huve chahere ke piche bhi aek chahera he,,,
ab kiya nasur bane jakhm ko logo par numaya kardu.


( dil e zisha ) #together
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

subhu ke ujalo me to kabi aek sham aaye ga,
tanhai me ya fir mahefilo me sare aam aaye ga,,
vada he ye mera aaj khud se ae gardise aiyyam,,,
us bevafa ke labo par bhi mera name aaye ga.


( dil e zisha ) #Goodevening
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

jis khuvab ke tabir ke aek lamhe me bita di sadiyan,
muskrahat ke ussi lamhe ne hi aakhir khali sadiyan,,
jispar tha kabhi khud se bhi jiyada yakin zisha,,,
chand palo me dikha di usne aokat bhula di sadiya. #Lohri
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

hamsafar agar sach me sath nibhaye to bahetar he,
mere aasu bhi tere aakh se aaye to bahetar he,,
sunhere khuvab ki tabir dard hi dete he akhir me,,,
khuvab ko gar khuvab hi rahene diya jaye to bahetar he.


( dil e zisha ) #together
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

becheni se ghir kar na kisi gayer se faryad kiya
muskrate huve labo se fir asko ko kherat kiya,,
muhabat ke ilava bhi he kayi gam is jaha me,,,
masrufiyat se aaj mili fursat to une yad kiya.


( dil e zisha ) #AloneInCity
695ba40f5484d1b42dfc15c2fd43e47b

( dil e zisha )

Alone  khayalo me do gaj zami ko fakat sara aasman likh kar,
par kuch to kahe ga isaro me ye bejuban likh kar,,
kiya karlunga aakhir aek naya sayer likhne par,,,
hasna parega fir vahi pursne gam ki dastan likh kar.


( dil e zisha ) #alone
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile