Nojoto: Largest Storytelling Platform
kamyagahlot5662
  • 25Stories
  • 8Followers
  • 222Love
    332Views

kamya gahlot

  • Popular
  • Latest
  • Video
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

kuch raate jagti huyi
sapno se dur bhagti huyi
aankhe nind ke intezar mai taaro ko niharti huyi
man khyalo ki duniya mai gum
kaisi hai ye raat gumsum
sab kuch khamosh sa hai
iss raat mai bhi hosh kaha hai
kaisi dhimi si behti ye hawaye hai
jaise har hawa ka jhonka kuch kehna chahe hai
kaisa yeh andhera hai
iss andhere mai bhi moh kuch gehra hai
ab sawere ka intezar hai
par iss raat mai bhi sukoon beshumar hai
kuch raate jagti huyi
sapno se dur bhagti huyi

©kamya gahlot #Star
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

khud se pyar karo tum
kisi ka intezaar na karo tum
har waqt kis soch mai doobe rehte ho tum
kyu kuch befizool khayalo mai apna kimti samay jaya karte ho tum
khud par etbaar karo tum
kya hua agar thoda tut chuke ho tum
par zara gor farmakr dekho khud ko paa chuke ho tum
mat jarurt mehsus karo kisi ki jab khud ke liye kafi ho tum
khud se pyar karo tum

apne sapno or khud ke bich kisi ko aane na do
kuch baato se sikho or aage badho tum
mat mudkar dekho piche
tum bs aaj mai jiyo or apne mai jiyo
khud mai bhi khush rehna sikho tum
kisi se umeed lgakar unke tutne ka intezaar na karo tum
khud se pyar karo tum

khud se pyar karna itna mushkil bhi nhi
har tarah se khud ko savaaro tum
koi tumhar baare mai kaisa soche iss khyaal ko nakaaro tum
khud ko khushiyo ka tohfa do tum
tum ek azaad panchi ho, pinjre mai kaid na raho tum
jin pankho ko tumne bandh rkha hai unhe kholkar ud jao tum
behti dhara ke sath nahi apni dhara banakr baho tum
khud se pyar karo tum

©kamya gahlot #selfcare #self_written #selflove❣️

#selfcare #self_written selflove❣️

7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

kitna khas hota hai vo dost
jo tumhari aam si zindagi mai khushiyo ka ras ghol deta hai
kitna khas hota hai vo dost
jo tumhari muskurahat ke piche ki takleef ko dekh leta hai
kitna khas hota hai vo dost
jo tumhe baat baat par chidata hai par tumhe pareshan krne walo ki waat lga deta hai
kitna khas hota hai vo dost
jo tumse choti moti baato par ladta hai par jarurat padne par sbse phle tumhare pass hota hai
kitna khas hota hai vo dost
jo kitna hi busy ho par dosti nibhane ke liye hamesha uske pass time hota hai
kitna khas hota hai vo dost
jo apne dost ki ek problem mitane ke liye apni sari problems bhul jata hai
kitna khas hota hai vo dost
jo apne dost ki bakwas sunne ke liye always ready rhta hai
kitna khas hota hai vo dost
jo  dur rehkar bhi har pal tumhare pass hota hai
kitna khas hota hai vo dost
jise koi bhi replace nhi kr skta
kitna khas hota hai vo dost
jiski dosti jiski yaari tum kabhi nhi khona chaaho
to bata du bahut khas hota hai esa dost
bahut khas hota hai esa dost....

©kamya gahlot #WallTexture
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

kitna acha din tha vo
jab meri life mai aaya mera khas  dost
unn dino kuch esa tha
sab kuch hote huye bhi mere liye kuch kam tha
mai bahut sari chizo ko samaj nhi pa rahi thi
bss unn sabme uljhi ja rhi thi
phir meri life mai koi aaya
meri uljhi huyi life ko unhone suljhaya
meri life ko unhone track pe laya
dosti kab gehri huyi pata nhi chla
or ek anjaan mera khas dost ban gaya
haa... uss dost per bharosha jarur mene mushkil se kiya
"but today i feel lucky" ki mene ek sacha or acha dost paya
jab mene pehli baar  unn dost se apne man ki baat ki
vo raat meri life mai phir se sukoon ki ek halki si shuruaat thi
unn dost ne muje khud se milvaya
muje khud se pyar karna sikhaya
muje phir se khush hona sikhaya
mera khoya hua aatmvishwas(self-confidence) muje dilwaya
mere dost kuch ese hai
suljhi huyi paheli jese hai
meri choti se choti problem ka hal muje unke pass mil jaye
jo meri galti par aksar muje dant lgaye
or meri kabiliyat par muje sarahe(appreciate)
mere bina bole kafi kuch samajh jaye
mera man shant karna unko ache se aaye
aaj mai ekdum normal hu iska shrey(credit) unko jaye
jitna mai apne dost ko janti hu, vo esa shrey bhi nhi lenge
but hum denge so shrey(credit) rakh lo🤗
unn dost ko dekh kr ek baat hamesha man mai aaye ki esa dost sabko milna chahiye!!!

©kamya gahlot #Dosti
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

khamosh se hote hai kuch log
jo or logo se kuch alag hote hai
jinki juban nhi bolti, par dil bahut bolta hai
andar se tufani samundar ki tarah hote hai
par bahar se shant sa sarovar bankar rehte hai
jajbaati hote hai ese log
par apne jajbaato ko bayan nhi karte
aksar apne jajbaato ko ashko ki dharaao mai yu hi baha dete
khamosh se hote hai kuch log
jo or logo se kuch alag hote hai
jo dard mai bhi chilla nhi paate
shant rehkar sab seh jaate
har kisi ko apne dil ki nazro se dekha karte
isliye sab inhe ache hi nazar aate
koi inhe takleef de to sirf muskurakar unse alwida le lete
kuch galat logo par bharosha kar lene par bhi, akele mai  khud ko hi koste
khamosh se hote hai kuch log
jo or logo se kuch alag hote hai
jo aksar logo ki bheed mai chup rhte
par ayine(mirror) ke samne khud se kayi der tak batiyate
khud khush ho ya na ho, par inki vajah se koi khush ho jaye iss soch ke sath zindagi bitate
har mod pe khud ko nikharana chahte
khamosh se hote hai kuch log
jo or logo se kuch alag hote hai
ese logo ki khamoshi mai bhi bahut awaaz hoti hai
ye awaaz sirf kaano se nhi suni ja sakti
ese log apne shabdo ko kisi ke sath sajha(share ) nhi kar paate
par unn shabdo ko panno(pages) par likhna bakhoobi jante
aksar apni hi khyaalo ki duniya mai khoye rehte
bahar ki duniya se lagaav(connection) kam hi rakh paate
kyunki khamosh se hote h kuch log
jo or logo se kuch alag hote hai

©kamya gahlot #allalone
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

ओ राही, तू चलता रह 
तू रुक मत 
तू थक मत 
तू हार मान मत 
बस तू चलता रह 
ओ राही, तू चलता रह

                @just_feelmywords #alonesoul
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

कहाँ गया वो ज़माना 
जब ख़त लिखा जाता था स्याही से 
पानी पिया जाता था सुराही से 
जब मकान होते थे कच्चे 
जब रिश्ते होते थे सच्चे 
कहाँ गया वो ज़माना 
जब शाम भी सुबह सी लगती थी 
जब रातों मे भी इतना अंधेरा न था 
इरादे मजबूत हुआ करते थे 
मुसीबतों से यूँ ही निपट लेते थे 
तनाव का मतलब तो जैसे पता ही न था 
कहाँ गया वो ज़माना 
जब रिश्तो की कदर हुआ करती थी 
दिल मासूम हुआ करते थे 
इंसान को इंसान समझा जाता था 
रिश्तो को पैसो से नहीं तोला जाता था 
दूर रहकर भी सब पास हुआ करते थे 
कहाँ गया वो ज़माना 
जब खुद को समय दिया जाता था 
परायों को भी अपना बना लिया जाता था 
किसी की भी तकलीफ मे सब साथ हो जाते थे 
गम तो जैसे पास न आते थे 
कहाँ गया वो ज़माना 
जो फिर कभी शायद लौटकर नहीं आएगा 


      
        - काम्या #veins
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

#Dreams
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

एक नन्हा सा चूजा जब अण्डे से निकलकर बाहर आता है 
तो कुछ ही दिनों के अंदर वह उड़ने के लिए अपने  पँख फड़फड़ाता है 
कई कोशिशें करने पर भी वह खुद को नाकामयाब ही पाता है 
पर अपने होंसलों से वह खुद को हार नहीं मानने देता है 
वह बस ये सोचता है की एक दिन उसको भी उड़ना आएगा 
अन्य पक्षियों की तरह वह भी आसमान की सैर पर जायेगा 
सिर्फ अपने घोंसले तक सिमित नहीं रह जायेगा 
आखिर मे उसका फड़फड़ाना बेकार नहीं हुआ 
कई कोशिशों के बाद उसने खुद को आसमान की ऊंचाइयों पर पाया 
एक नन्हा चूजा अब एक पक्षी बन गया 
ओर आसमान मे उड़ना उसकी ज़िन्दगी बन गया 


         @just_feelmywords #sunrays
7ba7ecb5e22335e9aa4e25f032dbe7a8

kamya gahlot

गिरना पड़ना तो लगा रहता है 
पर संभलना भी जरुरी है 
ज़िन्दगी मे बिखरते तो सभी है 
पर निखरना भी जरुरी है 
ज़माने की कश्मकश से डरना  क्यूँ 
जो सोचा है वो करना भी जरूरी है 
ज़िन्दगी के सफर मे तन्हा तो सभी है 
पर अपने अंदर की मुस्कान बाहर लाना भी जरूरी है 
दुनिया की भीड़ मे कहीं खोना क्यूँ 
भीड़ से अलग होकर कुछ करना भी जरूरी है 
मुश्किल राहो से डरना  क्यूँ 
मुश्किलों से लड़ना भी जरूरी है 
 जरुरी है 

       @just_feelmywords #letter
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile