Nojoto: Largest Storytelling Platform
aazamkhan5654
  • 51Stories
  • 4.8KFollowers
  • 327Love
    457Views

Aazam khan

i am a poet

  • Popular
  • Latest
  • Video
97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

#shayri #azampoetry
97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

#azampoetry #sadpoetry#viral
97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

#azampoetry #sadpoetry
97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

tujhe baar krne se roka kb h pgli,
ho jigar chalni mza to jb h pgli.

7 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

tera jism safaa mere honth qalam 
shab e vasl pe likhi dairy ho tum.
gle me rumaal dale mai riksha chalak
rikshe k pechhe likhi shayari ho tum. #poetry

5 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan


tu london me ghar banaye ya na banaye
ha magar mai bareilly me zarur banauga

tere lavo ko radeefo me rakhha
teri palko ka kafia banaya
jiske har ek misre ko maine
tere husn o shabab se sajaya
tere jism ka til samajh kar
harf pe nukta bithaya
matla tere naam se shuru
maqta mere naam tak aaya
jiska ek sher bhi kisi ko na sunaya
mai tujhko wo gazal sunaoga

tu London me ghar banaye ya na banaye
ha magar mai bareilly me zarur banaoga #poerty

8 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

aadab arz hai
   kuch sher aur uske bad ek gazal aapke nazr krta hu mulaiza farmaiga...

(1) maikhano se mile dhakke masjido se nikala gya.
na ishq hua mukammal na deen sambhala gya..
 by aazam 

(2) dard mitane k lea dard ki zarurat hai,
     dard hi dawa ab dard hi bimari hai.
    waqt se lad lea halaat bhi khafa mujse,
    zamane ne kh dea sari galti tumhari hai..
                                                     by aazam

(3) jo dikhta hai bo asl me hoya nhi krta,
hamesha doodh k lea baccha roya nhi krta.
der raat jagta dekh kise ko awara mt smjna     
  gurbat ka mara bhi jaldi soya nhi krta....
                                                   by aazam

(4) kisi ne shanshai rakkhi unke kadmo me      
   koi badshahi lekr aa gya,
unke dedaar e husn ka karishma to dekho ek fakeer apna neza dao pr lga gya.
aur miya kise ne thik hi kaha tha k hunar bdi cheez hai,
uske paas ek muskurane ka hi to hai meri saltanat khaa gya..       
                                             by aazam

(5)tere kasti tera daria tera hi majdhar shi,
tujhse jeete to kya jeete tujhse jung to har sahi

1( Gazal)
Jhoot bole hai kai ek jhoot chupne k leay,
kitne  bahane  keay  bs  ek  bahane k leay.

Zakhm apne hai dard e dil se meri yari hai,
koi aur zaria dhoodh mujko satane k leay.

suni  sadak  pe  kisi  k  jane ki  aahat  hai,
fir  ek  diwana  nikla  hai  maikhane  k leay.

teri aatish ki zad me mera hi ghar q aata hai,
lga de aag zamana pta hai jalane k leay.

Fir ek shamma bujhi fir siyah rat ne dastak di,
mar gya bo eklauta jo gya tha kamane k leay.

kya  zarurat  hai  firaun  ibleeso  ki  yaha,
insa khafi hai  insa pe zulm dahane k lea..
    
                                                    by aazam
2(gazal)
Tujhe baar krne se roka kb hai pagli
ho jigar chalni mza to jab  hai pagli.

chup rah k khud ko kabil na samaj
khamoshi magrureat ka sabab hai pagli.

mere paas ek tu nhi ek khud pe kaabu nhi
baki  jo  hona  chahey  bo  sab hai pagli.

sun  k   ansuna   jaan   k  anjaan  krna
teri  yahi   adaa  to  gazab  hai  pagli.

gazal ka rdeef aur nazm ka unbaan tujse
Aazam k hr kaseday ka tu adab hai pagli.
                                                    by aazam
Show quoted text #tour

9 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

बचपन और माँ  zami se sar jhukakar arsh ki wazmo ko choom lia
aaj maine apni maa k kadmo ko 
choom lia #maa

7 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

na gul na gulshan na shah e kirdaar dekha
maine jidhar bhi dekha tujhko har baar dekha #poetry lovers

#Poetry lovers #poem

5 Love

97ee7b83abaa6b379ccea240888f4e2c

Aazam khan

#DearZindagi  zindgi tujhme kaisa kaisa na hua 
kabhi aisa na hua kabhi waisa na hua 
mere  hijr  ki  ek  wajah  ye  bhi  hai
wo mere jaise na hue mai unke jaisa na hua #DearZindagi
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile