Nojoto: Largest Storytelling Platform
itzar1529525203464
  • 57Stories
  • 47Followers
  • 814Love
    1.8LacViews

LWMT (Ansh)

Unique Poetry. Follow and Support

  • Popular
  • Latest
  • Video
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

tumko chahta chahte saal guzar gye ,
tum toh na hamari halaat guzar gye ,
tum guzri jo mere gharse Payal chanak gayi,
hum guzre tumhare sehar h khamosh guzar gaye...

©LWMT (Ansh) #Tulips
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

मै पकड कर कलाई उसकि अप्ने घर ले आता,
अगर वो शक्स मेरी जिन्दगी मे कुछ पल रुख जाता।

©LWMT (Ansh)
  #Affection
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

kya beeti hogi us ped per log jisse fal tod bethe,
kya beeti us saakh per jisse patte gir bethe,
kaise log kaise patte jo ped ke na ho paae,
paani ka mila pedko wo garmi na seh paaye,
ek mausam toh aata hi hai jab wesa nahi chalta,
usi mausam mai pata chalta kon sakhs or patta apna,
jo kamjor ho gaye wo thodi hawa mai tut gaye,
jo sacche humsafar the wo ant tak sath rahe,
unhe nahi parwah thi ki iske baad kya hoga ,
ped ke sath koi nahi ho fir uska haal kya hoga,
wo bhi dheere dheere dukha or ek din haar gya
ek kuladi lagi usko wo khud ko mar gya
ek mausam tak intzar kiya usne bhi tha savan kaa 
per na aane ka iradakr doya tha patte na
itni jaldi nahi tutta agar wo fal deta rehta ,
wo toh sab krta prr koi ant tak sath toh deta,
koi tod le gya jalane ko toh koi khana pakane ko 
koi le gye apne gharke darwaje banane ko
sabne usko ant talak uska upyog kiya,
jab jarurat isko thi tab usi k patte ne na sehyog koya,
esa uper uper dikhta h antim ki baat alag hai ,
patta paani jayda na le isliye hua alag hai ,
patta ko thi parvah isliye wo khud sakh se toot gya ,
baat ped ko bhi pata thi isliye usne hath chord diya,
bhala ped jaane deta un patto ko ,
wo patte jo madad krte the logo ko chaya dene mai,
un patto ke sath wo fal maana isiliye aaye the,
bajan bada kr sakha ko wo neeche le aaue the ,
un fal ko toda tha toh sath mai tuti thi kuch daale ,
logo ko fal se matlab tha wo inbaato se kya jaane ,
logo ko kya lena dena unhe fal se tlb tha,
unka pedo patto ke prati sorf laab lena tha,

©LWMT (Ansh)
  #FallAutumn
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

saare log ja sake lena hai esi gadi,
barsat mai ja paye hum khiliyan saari ,
esa batao kuch hai koi esi gaadu
sapna tha dadaji ka lene haii motorgadi,
rupya nahi hai itna le le kya udari ,
ek bar mai le sake hum nahi h vyapaari,
pehle se ho rakha tha humpe karja bhari ,
sapna tha dadaji ka lene ka motorgadi,
choti si lelo dikhti ho jo pyaari ,
naam uska rakh dege ramdulari,
ban jaaye usme ghar ki saari sawari,
sapna tha dadaji ka lene h motorgadi

©LWMT (Ansh)
  #Broken
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)


tere jaisa pyaar krne wala mene dekha nahi hai sanam,
mai tera ho nahi paaya mere hato mai syd teri rekha nahi h sanam

©LWMT (Ansh)
  #Affection
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

kadam rakhta gya nisa bante gye,
samay dhalta gya log badalte gye,
manjil uper thi hum chadte gye,
jo bhi kaam mila hum krte gye,
sangat galat thi hum bigadte gye,
jinse jayda mila unhe chubte gye,
paani mila hum ugte gye,
pehle paude the ab ped bante gye,
or kathinayio se ladte gye....

©LWMT (Ansh) #StandProud
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

fir chand a gya fir suraj a gya,
chand ne socha ki wo suraj se pehle a gya ,
suraj ne socha wo chand per vijay pa gya ,
fir ek din beeta or aasmaa saaf thaa ,
ek taraf suraj tha or ek taraf chand tha,
suraj kehta mai ujala deta hon in logo ko,
chand kehta teri grmi se sheetal deta hon mai logo ko,
suraj kehta dekhte h log meri wajah se,
chand kehta mai hon karan logo ke sulaane ka ,
suraj krhta kaam krte log mere ujale mai,
chand kehta mai sukoon deta hon andhiyaare mai,
fir suraj ne iljaam lagaya chand per or kaha ki tum karan alas ka,
fir chand bhi bol pda ki tum karan ho thakabat ka...
aasma ne samjhaya ki tum dono hi jaruri ho,
logo ko dhup or sheet alta dono hi chaiye ,
apna gussa shant kariye or yaha se jayiye ,
apna apna kartabya dono hi nibhayiye...
fir suraj gya or raat ho gayi ,
fir chand a gaya fir suraj a gaya

©LWMT (Ansh)
  #2023Recap
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

ek kinare betha tha mai ek nadi ke,
kr raha tha baat mai uske paani se,
pucha mene shant kese or sheetal ho itne,
bola kayi logo ko jaanta hon mai bahar or bheetar se,
jo bhi mujhse dubte hai unka man pd leta hon,
unki grmi rakh leta hon or sheetal lr deta hon,
bahar se sudha to ho jaate h log yaha,
fir bhi mat mele reh jaate h bheetar se...
ek kinaare betha tha mai ek nadi ke,
ek noka wahi kinare per bethi thi,
aane jaane mai logo ki sehyogi thi,
mene pucha daam kya h us par jaane ka,
keh rhi h mujhe chalana kaam maalik ka,
puch lo fir daam ka bhi tum unisee,
kevat kehta de dena jo bhi ho khusi se...
ek kinare betha tha mai ek nadi ke.

©LWMT (Ansh)
  #Dostiforever
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

wo chand dhal gaya or subhay ho gayi,
mere ghar ke bahar logo ki bheed ikkatti ho gayi,
ek rassi se jhulta raha savh mera raat bhar,
utara gya jab gharwalo ki nend puri ho gayi,
padte padte so jaata tha har roj raat ko,
us din zindagi mai padayi puri ho gayi,
kisi ger ka sataya hua nahi tha mai 
apno ki hi khwaish puri ho gayi...

©LWMT (Ansh)
  #thelunarcycle
b14519b6250480a6f61128db18acf93d

LWMT (Ansh)

ek poudha lagaya tha 

kabhi jab chota thaa 

aaj wo ped ban gaya 

aaj mai bhi bada ho gaya

usko dhup mili usko paani mila

mujhe khana mila mujhe bhi paani mila

usne dii hai chaav mujhe sameth kr patte apne

mene di peeda h gharwalo ko apne

usne mujhko fal diye hai or seetal vaayu

mene nahi diya kuch bhi mai unse bus mangu

us ped mai kayi patte or kayi fal lage the

ek mai hon jisme kayi ayeb lage the


us ped ki saakha humesha uske sath rahi 

or mere kuch apne ko mujhse hi dur kiya

wo tehalta hai hawa hai bus wo girta nahi 

mene usse seekha hai aandhiyo mai girna nahi,

aaj wo bahut hi majvoot ho chuka h

or aaj mai bahut hi kamjoor ho gya hon

usne kabhi nhi chodi zad kitna v bda ho jaane per

or hum itraane lgg jaate h zra si daulat aane per

uski gati nahi wo fir bhi daali katba betha

bahut jagah meri galti thi or mai galtiya daba bethaa

dheere dheere sab kat gaye bus khada rha bs wo

mai bhi akela ho gaya bacha rha khud mai

or samay ne kuch pal baad usko bhi jdaha diya

or samay ne usko fir maut tk laa diya

kathin paristhitiyo se mujhko ladna sikhaya usne

per aakhir mai sabko hara diya samay ne

samay ko kuch pal tak badla krke mehnat mene 

samay wapas le liya fir mujhse usi samay ne.

©LWMT (Ansh)
  kathin paristhitiyo se mujhko ladna sikhaya usne 

per aakhir mai sabko hara diya samay ne 

samay ko kuch pal tak badla krke mehnat mene 

samay wapas le liya fir mujhse usi samay ne.

kathin paristhitiyo se mujhko ladna sikhaya usne per aakhir mai sabko hara diya samay ne samay ko kuch pal tak badla krke mehnat mene samay wapas le liya fir mujhse usi samay ne. #ज़िन्दगी #Pattiyan

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile