Nojoto: Largest Storytelling Platform
poshaligupta9683
  • 7Stories
  • 470Followers
  • 399Love
    2.4KViews

Poshali Gupta

I am a Chartered Secretary by profession, lives a dream to spread my voice and give a sense of relief from my writing.

  • Popular
  • Latest
  • Video
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

Dear Maa,
Aap bahut yaad aate ho mjhe...
Kabhi kabhi neendo Mai sehlate ho mjhe...
Aankh khulte hi yaad aa jate ho...
Phir apke tips se shortcut apnati hu...
Ghar k kaam kar, independent girl ka taaj pehen, office nikal jati hu...
Thandi roti khate hi, apke khane ki yaad aa jati hai...
Kaise school tution se aate hi...
Bhook lagi hai bolne se phele hi...
Bhar pait khilati thi...
Aaj koi nahi aaisa puchne ko...
Koi nahi dard batne ko...
Sabko bus apni padi hai...
Sab kuch karne k baad bhi, zindagi ruthi padi hai...
Shayam ko padhne k liye bolna, tv kam dekhna ye baar baar kehte rehna...
Aaj bhi wo aawaz gunj jati hai...
Aksar band TV ki pukar ansuni kar di jaati hai...
Aab toh waqt hi nahi, aaisa lagta hai...
Tujhse milne k liye bhi permission ka ticket lagta hai...
Duniya aaisi hi hai sunna tha...
Ek bache ko uski maa se milna bhi dubar ho jayega, ye jeete jee mehsus kia tha...
Aap bahut yaad aate ho mjhe...
Aap bahut yaad aate ho mjhe...

©Poshali Gupta
  #teatime#Maa#TeaTimeThoughts
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

#Bhaikishadi
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

kisi ka ahem mjhe kaat raha hai...
kisi ka vehm mjhe jala raha hai...
lekin, iss sab k beech koi toh hai jo mjhe haath thame badha raha hai...

©Poshali Gupta
  power of belief

power of belief #Life

c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

Someone's opinion of you, does not have to become your reality! 

believe in self!

©Poshali Gupta
  believe in one self!

believe in one self! #Motivational

c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

Kash hame udna sikhate... 
Apne hak k liye datna sikhate... 
Aankho mai aansu nahi, manzil ki chamak dikhate... 
Kash unn taron ko chuna sikhate... 
Patang ki nahi, sapno ki dor dete... 
Kisi aur ka haath nai, khud ka vishwas, tham k chalna sikhate... 
Kash umeedo ki duniya nai, mehnat se kamiyabi ko dikhate...
Ungali pakad k nahi, khud k pairo pe chalna sikhate... 
Kash umeedo ki duniya na dikhate... 
Kash umeedo ki duniya na dikhate...

©Poshali Gupta
  #lifeofagirl
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

Aaj phir se akeli hu... 
Lagta hai zindagi kuch sikhna chahati hai... 
Har baar issi modh par wapas le aati hai... 
Aab toh dar lagne laga hai... 
Zindagi kya aaisi hi bitani hai... 
Nigahe jo sapna dekti thi... 
Ussi ki aap beeti sunani hai... 
Himmat kar dubara khadi ho jati hu...
Suuni aanko sang duniya ka sath nibhane lag jati hu... 
Kuch soch kar phir se ruk jati hu... 
Dil ki aawaz sunne ki koshish mai jut jati hu... 
Aaj bhi jo sapne aanko mai hai... 
Aksar aansu ban nikal jati hai... 
Pure hone ka intezaar aaj bhi hai... 
Kis raste jau, jahan manzil mil jaye... 
Phir se dusaro k samne haath failane ki wajah bewajah ho jaye...

©Poshali Gupta #upsnddownsoflife

#sagarkinare
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

Aaj mai khud se mili... 
Kaffi dinoo k baad muskurai... 
Haath pakad kar pass le lai... 
Aaj mai khud se mili... 
Ankho mai aankhe daal baat nai kar pai... 
Unn sapno ko pura na karne ki sharam jo thi aank mai... 
Khud ki aankh se aankh na mila pai... 
Shayam ki si hi baat hai, aaj mai khud se mili... 
Kahin jana tha waha jaa nai pai... 
Kuch palon k liye rukna tha, ruk nai pai...
Kuch hatho ko haath mai lena tha, le nai pai... 
Kuch Sapne jeene the, jee nai pai... 
Par phir bhi pata nai kyu, aaj mai khud se mili... 
Milkar aaisa laga, akele nai khadi... 
Khud par khud ne vishwas ki ek kali khilai... 
Phool banne mai waqt lagega... 
Par yakin hai wo mukam zarur milega... 
Aaj mai khud se mili... 
Shayam ki si hi baat hai, aaj mai khud se mili...

©Poshali Gupta #Happiness
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

#FourLinePoetry Tujhe dekha toh sach laga... 
Sapno mai toh khawab hi tha... 
Chua toh sab sach laga... 
Varna toh sab khak hi thi...

©Poshali Gupta #fourlinepoetry
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

#1

#Gurupurnima
c500ef5952cd6dc750690c815c49d011

Poshali Gupta

DIGITAL SIGNATURE CERTIFICATE (DSC) AT BEST PRICES. 
CONTACT US!

©Poshali Gupta #itstimetoconquer
#MessageToTheWorld
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile