Nojoto: Largest Storytelling Platform
shabanapathan0725
  • 36Stories
  • 525Followers
  • 10.2KLove
    8.4KViews

Shabana Pathan

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

Unsplash khubsurati ko camera me 
qaid karti hu,

najane kab se pal pal ka
 hisab rakhti hu,

jeeti hu zindagi apni marzi se,

ek lamha bhi khud ka na 
barbad karti hu.

©Shabana Pathan #snow
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

Unsplash Sab mil kar achchhe insaan ko 
bura bana dete hai,

magar bure insaan ko achchha
 sirf kitabe bana sakti hai.

©Shabana Pathan #Book
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Dost banao,yaar banao,ho sake to pura sansar bano,

fir bhi tum duniya nahi bana sakte aur nahi duniya ko khush kar sakte ho,

ye jo jeet haar ki fikar karte ho raat din,

roothte roothte  ek din sare  taaro ke jese toot  jate ho.

©Shabana Pathan #good_night
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Suraj roj ugta he aur nayee subha hoti hai,

samajh sako to samjhlo yahi zindagi hai,

roj hum jaagte he, bhagte he aur so jate hai,

khud ke liye jeete nahi he fir bhi hum khush hai.

©Shabana Pathan #GoodMorning
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Jyada socha aur jyada samjha,

samajhdaar ban gae hum,

kabhi jo jeete the befikri me hum,

ab pahele jese na rahe hum.

©Shabana Pathan #Sad_Status
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White dua aaj kal koi deta nahi he,
hotspot se wi-fi de dete hai,
dono hi free me milta he,
lena kya he aur dena kya he ye to bas 
lene aur dene wale par nirbhar karta hai.

©Shabana Pathan #Sad_Status
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Insaan jaanwar ko paalta he 
raheesi dikhane ke liye,

kash ek Ameer ek gareeb insaan ko paale 
insaaniyat ke liye,

 yahan sare insaan hai bas naam ke
sare ke sare khokhle he insaaniyat ke bagair,

jeena he to aise jeeyo duao ke sath
insaan bhi farishtaa hai insaniyat ke liye.

©Shabana Pathan #Sad_shayri
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Aaj kabristan ke bahar se guzri to khayal aaya ki ek din mitti ke ghar me mujhe bhi sona hai,

mujhe narajgi bhul kar, sab ko maaf kar saaf mann se duniya se jana hai,

achchhai ki koshish har waqt karti hu aur mujhe kisi ka dil nahi dukhana hai,

najane kon sa lamha aakhri ho ab yahi zindagi ki sachchai hai,mujhe ise apnana hai.

©Shabana Pathan #sad_quotes
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White Zindahi ka matlab puchha tha kabhi hamne khud se,

bahut waqt ke baad jawab mila ki hum khuda ki raza me jeete he,

ise hi zindagi kahete he,

chah kar bhi tum zindagi ke pal kharid ya bech nahi sakte,

ye to khuda ki marzi he is liye hi hame Insaan banaya gaya he.

©Shabana Pathan #Sad_Status
d95645488fedc884b8abc40e315ea184

Shabana Pathan

White khwabo ne aksar daraya he hame,

aankho ko kai baar bhigaya he hamne,

karte  rahe sikwe sikhayate takdeer se,

fir khud ko hi  hasa diya he hamne,

koi kya karega madad hamari,

 khud ko gul ban kar khila diya he hamne.

©Shabana Pathan #sad_quotes
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile