Nojoto: Largest Storytelling Platform
evoketutorial8890
  • 42Stories
  • 30Followers
  • 326Love
    1.0KViews

Safdar Shaikh

Professor | Writer "Jo munasib lage wo chun leta hun, bas issi tarah mere do lafz bun leta hun. instagram : mere_do_lafz, insta pers. : safdar_h_s_77

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Safed kapde me kuch fard aaye the,
Saath me apne kuch DARS laaye the.

Main dunyaavi kashmakash me mubtala tha tab,
Main kisi aur daur me laga pada tha tab.

Wo bata gaye mujhe Mera muqaam,
Maine sab suna aur reh gaya gumnaam.

Gumnaami ke wo din mujhe Aaj bhi yaad hain,
Maujuda makhlook sa tha un dino main shayad.

Main tha kahin kisi aur sa,
Main ho gaya hun ab kuch aur sa shayad.

Mere mashghale mera aaina ho goya,
Meri aarzoo ab mera wajood hai kahin.

Ab main reh-guzar aur raah-geer bhi,
Main chal para hun ab nisbat pe aye maula.

Tu hi mudarris, 
tu hai hum sab ka muqaam,
Hum pe Karam kar aur naazil kar nek payaam.

©Safdar Shaikh
  #writing
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Tu zeest de,
Aur fir maat de, 
Bas Har qadam pe haath de, 
Har baar faqat mera saath de,
Fir kabhi haseen Raat de,
Tere fikr ki zaat de,
Tere lafz de jazbaat de,
Tu jazb kar mere faisle,
Ab bas mujhe shaad de.

©Safdar Shaikh
  ab bas mujhe shaad de !!

ab bas mujhe shaad de !! #Quotes

e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Ye duniya jo faani hai usse muruwwat kaisi, 
Main Marz liye hue badshaah bana baitha hun.

©Safdar Shaikh #jail
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Ye duniya jo faani hai usse muruwwat kaisi,
Main Marz liye hue badshaah bana baitha hun

©Safdar Shaikh #safar
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Tu na Mehboob lagta hai na Mehtab lagta hai,
Meri Alamat to dekh tu ab bhi mujhe khwaab lagta hai.

©Safdar Shaikh #humantouch
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Do Jaan
Do mehmaan
Do chaar lafz
Do Ghazal 
Do-pahar tak ka khayaal
Do din ki zindagi

Ek nazar
Ek Wo
Ek Main Aur ye lambi si
zindagi

Sab faani hai.

©Safdar Shaikh #Life_experience #lifeLearning 

#lonely
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Tu tabrez (1) hai - hazaaron khayaal hai,
Azaad sa ek misaal (2) hai - mujhe malum hai.

Tu reh gaya gumnaam hai - tujhme kayi muqaam (3) hai,
Tujhme  jo ye malaal (4) hai - mujhe malum hai.

Tere tarz (5) kuch aur hai - ye marz (6) kuch aur hai
 - mujhe malum hai.

Kabhi fahash (7) - kabhi mabroor (8) hai,
Tu khudme maghroor (9) hai - mujhe malum hai

Har dafa har martaba tu sharf (10) hai - shaoor (11) hai,
Tu bandishon (12) me bhi Noor hai - mujhe malum hai.

Tu darbadar sa haal hai - jaise koi wabaal (13) hai,
Na jaane kitne sawaal hai - sab mujhe malum hai.


Meaning :
1. Tabrez - challenging, showing openly
2. Misaal - example. 
3. Muqaam - place/site
4. Malaal - regret, grief. 
5. Tarz - manner, way
6. Marz - disease. 
7. Fahash - indecent
8. Mabroor - being decent
9. Maghroor - arrogant (pride)
10. Sharf - honoured. 
11. Shaoor - Perception and sense
12. Bandishon - restrictions. 
13. Wabaal - destruction

©Safdar Shaikh Sab Mujhe Maloom hai.

#Dark

Sab Mujhe Maloom hai. #Dark #Thoughts

e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Tera Kuch kehna mamool sa lage,
Teri khamoshi bhi mujhe manzoor sa lage.

Tera mujhtak hona bhi door sa lage,
Tu mujhme Mera wajood sa lage.

Main aur tu maghroor sa lage,
Tera hona mujhme rooh sa lage.

har waqt ye hona mumkin to nahi,
tabhi wo lamhe noor se lage.

Lafz se lehjaa tak tu hoor sa lage,
har baar sirf tu shaoor sa lage.

Tera na rehna bhi manzoor sa lage,
Har dafa tu mujhe fitoor sa lage.

Meri minnaten sirf tujhtak,
Sirf tu mujhe mehboob sa lage.

©Safdar Shaikh Nazm

#Goodevening
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

Main iss dafa mutmayeen nahi khudse,
tera aasmaan zaruri hai iss aashiane ke liye ...

©Safdar Shaikh #Happiness
e354fdf68e4e2e305be620698215b009

Safdar Shaikh

When you involve, you EVOLVE !!

©Safdar Shaikh #Hair
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile