Nojoto: Largest Storytelling Platform
mohammedarbazudd1274
  • 6Stories
  • 16Followers
  • 26Love
    50Views

Mohammed Arbaz uddin

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

Ek gareeb parivar jo har waqt apne gaoon wallon ke gusse ki aag mein har waqt sulagte the wo ek tuta puta sa ghar tha aur ghar ke 5 afrat bhook thi unke liye duniya ke saman phr bhi bhooke hi jeete une na koi bojan deta na koi unki madad karta wo jaldi dhoop mein bhi kai se us ghar mard dusre gaoon se bheek mang khana lata usi ko kha wo jeete the

Ek din unke unke yah khushi ya ka maheman aaya lekin khushi abhi kayi fasle ki duri per thi abhi bhi kayi dhook aane the unki zindagi mein toh usi shaam unke ghar per ek maheman aaya jo ek collector tha us gaoon ka suvey karne ke liya aaya hua tha toh wo kuch din se gaoon wale aur inke bich ki lakir ki anban ko deka aur use ab is lakir ko thodna cahata tha lekin gaoon wale us parivar ka itna apman karte ki agar koi hota toh atma hatya karleta ya depression ka shikar hota toh us collector ne unke do beton ku kuch waqt dekar padaya likya aur phr 2 saal baad une saher padne likne bheja asal collector ka survey yah per 1.5 saal ka tha lekin wo is parivar ko jo apna kahekar aaya tha use accha karna aur ek acche mukam per pahunchana cahata tha uske baad us ghar ke mard jiska naam jaipal rao tha usko ko bhi usne ek kaam sika diya aur uski patni jiska naam tha rani use silayi ka kaam aata tha toh us collector ne use chote chote order ka kaam deta raha aise karte karte wo log itne acche hogaye ki gaoon wale unke samne thoda thoda jhukne lage kahete hai na paisa sab kuch badal deta hai aaj gaoon waloon ki niyaat badal diya hai jiska wo har waqt apman karte ab wo log hi unki izat kar rahe the

10 Saal baad Jaipal rao aur rani ke bete jay aur raju dhono apni padai puri karke aaye uno ne apne aane khabar chiti per likar bheja tha wo gaoon mein aate ki wo dono hairan hogaye ye dekar ki gaoon wale unke sawagat kar rahete raju bola ye sab kya hai maa toh rani boli ki mai sab ghar per bataungi pahele ghar toh chal jay ne b.com kiya hua tha aur raju ne arts ka course kiya hua tha raju apne kudh ke kai stories lika aur une publishing bhi ki usne collector ke pau chukar uska asrivad liya phr apne maa baap ke ab wo apne parivar ki kahani likna shuru kiya ab wo log saher mein rahete hai jay ek badi company mein kaam karta hai aur raju film industry mein story writer hai #Gareebkamazak
#growingup
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

Waqt ka safar



Maine aaj apne aap ko pahechan hai maine kai logan ku aapne daulat se taklif paunchai hai us khuda ko bhi yaad na karsaka jo har waqt meri hifazat aur muje roti,ghar,kapde,daulta aata kara so maine daulat ki wo pati bandliti ke muje koi naazar hi na aaraha tha na koi baccha,bada,buzurg sab ko apne zulm ka shikar banaya

lekin wo khuda-e-Alam bada insaaf karne waloon mein se hai usne meri sari daulat khushi wapas leliya hai uske bawajood bhi maine apni wo jahalat aur akad na chodi phr kai gaoon saher ka safar kiya kai bar kaam karne ya kuch karna caha lekin meri akad ke waje se kai log ne muje nikal pheka hai phr maine aise hi apni thooti puti kismat liye punjab ki aur bada udar bhi tiraskar hi hua phr maine ek din deka ki ek gareeb baccha sahed wo 6saal ka bhoot tha wo bhoot hi noorani aur bhoot khubsurat ladka tha usne zameen per ek janimaz bichai aur asman ki taraf haat utakar kuch bolne laga tabi ek nazara dika ek kuttene apne mu mein ek roti ka tukda le aaya tha us ladke ne adi use khilayi aur adi wo khud khaya.Wo nazar dek iska dil bechan sa hogaya uski ank bahar nikal aayi kyu ki ye kai din se bhooka aur piyasa tha iski haalat bhook nazuk si hogayi thi 

Use tab ka samaj aaya ki khuda ki shaan bhi kitni nirali hai ek bhooke ladke ku ek khutte ke zariye se rizk pahucharaha hai usne tabhi zameen per bait asman ki taraf haat utakar rone laga allah se mafi mangne laga gidgidane laga aise 2 din beetgaye 3 din ek buzurg aaye aur awaz di aye naujawaz shaksh koun ho tum toh usne kaha ki mera naam shanawaz hai usne apni puri kahani sunai toh us buzurg ne kaha ye lo pahele khana khao phr baat karenge shanawaz jaat se khana khaya phr buzurg ne kaha ki jo hua use bhool jao Ab apne nayi zindagi ki shuruat karo buzurg ne pucha ki is safar mein tumne kya sika toh shanawaz ne kaha ki maine waqt ka mauza deka mere pas jab dault thi tab muje kisi chiz ki kami na thi rizk ki khadar na karta tha tab mai safar mein tha toh pani,kapda,daulat,roti ke liye tadpa toh us buzurg ne kaha us ka shukar ada karo jabhi tum khush ho yah pareshani ke haal mein.Wo buzurg ne muje din ke kai amal aur Quran e tilawat sikaye aaj phr se mere pas wo sab hai jo maine khoya tha lekin aaj meri adi se adi daulat gareeb aur zaroorat mandon mein baat deta hoon aur uska sukar ada karta hoon!

Doston waqt ka safar har kisi ko badal deta hai isliye har mood per allah ka shukar aada kare!!! #IndiaLoveNojoto 
#Waqtkasafar
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

Jabhi mai suraj nikal ta dekta hoon tab 
Ek alag hi ahesas hota hai

Nayi zindagi ka naya pal hota hai
Ek naye safar per nikal padte hai

kai hazar taklifon ke safar baad
Ek naya khushiyon ke safar mein 
chal padte hai hum!!!

               _Mohammed Arbaz uddin #ugtasuraj
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

#inspirational
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

#inspirational
edf046a2875640bc7e2c6dc5bf94f026

Mohammed Arbaz uddin

Motivational video by MSK  Namita Sharma Suman Zaniyan FᎪᎡᎻᎪN ∶ ᏚᎻᎪᏆKᎻ ✔️ happy_dil Prady Vats

Motivational video by MSK Namita Sharma Suman Zaniyan FᎪᎡᎻᎪN ∶ ᏚᎻᎪᏆKᎻ ✔️ happy_dil Prady Vats

47 Views


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile