Nojoto: Largest Storytelling Platform
unknown7266
  • 25Stories
  • 3Followers
  • 198Love
    132Views

apeksha tanwar

jaan na kya sab saath chalna khud se dil dikhana kya sab samajna khud ko 😊💖💖

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

#calm

30 Views

f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

हैप्पी रक्षा बंधन 
तो सिर्फ नाम का है
फ़िक्र तुझे बेशक सबसे ज्यादा है
चाहे तू एक लफ्ज़ ना कहे
यह सच्चा दिल सब जनता है

love you mera pyaare bhaiya
🤗🤗🤗🤗
 
                                    ankahein_alfaz_ #rakshabandhan
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Kya yeh galti thi meri ki waqt na de paai
Kya yeh galti thi ki humari baato se jyada 
Mere adhure kaamo ko puri karne ki chahat thi
Kya yeh galti thi jab bhi kuch kahu jawab mein 
sirf tumhare gusse ki laaj rakhu 
Kya yeh galti thi ki har samay mushqil chahe ho ya nahi sirf tumhe hi yaad karti 

Ek baar zara mere baaremein bhi socha hota 
Ek baar zara mujhe apni jagah rakha hota

Mujhe aaj bhi shikayat nahi na koi bair hai 
Kya karu jab har baat chub hi jaati hai 
kabhi isey bhi khwahish aajati hai 
Aaj bhi kahungi meri galti hai maaf kardo aur himmat nahi ab tumse ladne ki

                    ankahein_alfaz_ #newplace
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

#KargilVijayDiwas Watan bhi rahega 
Hum bhi rahenge 
Yeh jameen ki raksha karne waale humare saathi bhi rahenge 

Mai dewaani inki taakat ki nahi 
Balki yeh josh  
seema ki rakha karne ki aur inmein basi har ek rooh ki 
Mujhe bebas kardeta hai aur chala jaata hai waha jaha har hindustani ka dil hai inn veer jawaano ki salaam karne mein

                          ankahen_alfaz_ #kargilvijaydiwas
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Aksar jab mann dukhi mera hota hai
Gaane ki har dhun dil chuuta hai
Har ek lafz ragon mein ghumta hai
Jaise sirf humari dastaan likhta hai

                                        ankahein_alfaz_ #piano

6 Love

f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Meri kabr ko ashh se bheegne mat dena
yeh neeti hai meri jaan
issey tutne mat dena 

               ankahein_alfaz_ #HopeMessage
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Yaad hai tumko iss hi chand ke neeche
humari baatein hua karti thi
yaad hai tumhe, jab tumhe isse
jyaada pyaara maanta tha
yaad hai tumhe jab iss waqt hi 
tujhe sab bataya karta tha
yaad hai tumhe ya phir inn andheron
mein hi kahi bhula gayi yeh sab

                                  ankahein_alfaz_ #moonlight

10 Love

f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Aaj kal aksar najaron se baat hoti hai
woh kehti tu ajkal badi chup rehti hai
shararatein teri badi yaad karti hai
hawayein kehti, tu badi maayus rehti hai
yeh baadal tujhe roz dekhti hai
boondon se aksar teri baatein karti hai
                            
                                        ankahein_alfaz_ #Isolated
f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Aee dil, tu aksar bharosa karta hai 
phir bhi dhoka paata hai
tut jaata hai magar
judne ki koshish karta hai
yeh dimaag tujhe samjhaata hai
tu iski sunn bhi leta hai
par kyu aksar bikar jaata hai

haa shayad iss rooh ko tum dono ki 
baat maan ni chahiye 
                      @_ankahein_alfaz_ #Health

11 Love

f86aeae4fb18bb70efe6de07b7f25571

apeksha tanwar

Haath aaj shayad thame hai
bharose se filhaal pare hai
najron se hum kuch jhuke hai
duniya se jaza behke hai
Ahemiyat dena chahte hai
par rukh jao ek baar kuch soch jao
aaj yeh nazrana kal ka behka 
kabr ki kinaar nahi banjaaye
mohabaat inmein mehmaan nahi ban jaye
sabr kar aur tham ja 
samajkar iss duniya ko 
phir aapna kadam badha
                               @_ankahein_alfaz_ #Light

10 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile