Nojoto: Largest Storytelling Platform
abhaypandey2327
  • 92Stories
  • 83Followers
  • 950Love
    14.3KViews

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

I am just like speck I am just like a speck

  • Popular
  • Latest
  • Video
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Haathon me Mehandi, Pairo me mahawar ka waqt laya hu,
Teri maang sindoori krne, Mannton ka bhi sath laya hu,
Rang de apne ishq me, Lal jode k rishto ka gaanth laya hu,
Rangrez ban meri duniya rang de, Kore kagaz sa dil laya hu,
Saansen chute is duniya se,falak tk  sath nibhane k liye hath laya hu,
Do kadam chalne ka wada kar, rashme nibahne k liye baraat laya hu,
Hey! Khuda bhar de jholi meri, Apne piyan k liye saasen udhar laya hu,
Jeevan ki Antim saason  tk, Maanten bhi sath laya hu,
Haathon...

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #love_shayari  poetry lovers#Kafanseries

#love_shayari poetry loversKafanseries #Poetry

ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Ishq hai tumse, Jatau to jatau kaise,
Apne naam ki sindoor, tere mang me sajaun kaise,
begair bhi ab gairon ki tarah badua karte,
Bandish rishton ki na hmare rishte jawan karte,
Tumhare Apno ko manau to manau kaise,
In rasmo riwazon ko tum sath nibhau to nibhau kaise,
Ishq hai...
Janmo janmo ka sath ho  ye mannat kr aaya hu,
Hai Naseeb me mere, to saason ka sahgat laya hu,
Hath me mehandi, Pairo me mahwar ho mere naam ki,
Dua h kayanat ki tb  dhani choonar le aaya hu,
Abhi waqt ka intezar hai, tumhe apna banau to banau kaise... 
Ishq hai...

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #Sad_Status #Kafanseries
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White kiske hisse me kya hai, aur kya hoga, ye koi na jana,
Mere hisse me khidkiyan thi, aur dekhta rha tera lahin aur jana,
gairon k hisse me darwaze the, unke naseeb me tha tera aana,
Tere hisse me kya the, na main smjha aur na jamana,
Tum unke sath khush thi ya nhi, ye naseeb hi jana,
Main karwate badlta rha aur tum gair ki shilwate sajana,
Jab aaye yaad meri mohabbatein meri, 
Tum unhe manana jo tumhe jism k alawa kuchh na jana,
Kiske hisse me kya hai, aur kya hoga, ye koi na jana

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #Sad_Status #Kafanseries
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

green-leaves Har tarah koshish ki tumhe apna banane ki,
Tum naseeb me nhi tha ya koi sazeesh kr gya,
Adhura Ishq, adhure waaden, aur adhuri rhi saansen meri,
Tumhe in rasmo iwazon ne kisi ke sath tumhe pura kar gya,
....

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #GreenLeaves #Kafan series
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Tumhare hain Kahte Kahte, 
Kisi aur ke hone lage,
Sath karwate badalte badalte, gair sapno me khone lage,
Ummid hai mohabbat mile unke jaisi, 
Mujhe rushwa karne k baad,
Ishq yaad na aaye Aabhik meri, Kisi aur ke hone ke baad,
Narfat hai bolte bolte ,
 Mujhse phir ishq na hone lage,
Bistar ki shilwate ho kisi ki, 
Phir mere sapne na sanjone lage.

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #love_shayari #Kafanseries#
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

Unsplash Haaton ke lakeeron bhi,
faaslon ki gawaahi ban gaye,
Bistar ke shilwaton bhi,
gair hone tk rushwaai thi,
Sapne, Karwate,Aahaten,
Ab Bagair ki hayaai ho gaye,
Waadein,  Kasame,Rashme,
Kab meri behayaai ban gaye,
Sambal ja Aabhik, thahar ja,
Jo Khuda the tere, unke gair khudaai ban gaye,
Raushan hogi mahfil unki kisi aur k sath,
Tum Khud apni saason ki sajaai ban gaye.

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #lovelife #KafanSeries#
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Ishaq Sacha ya Ishq ki farebi kahawaten,
Haaton k lakeeron se jyada paheli thi sb unki baatein,
Gair hai ye duniya kahne wale, gair kiye hmari sb saasen,
Badla ishq unka begair k liye,
  jhuthe hi thi unke sabhi waaden,
Ishq sareyam bikta hai sbki aankon me,
ab Aabhik, na bednam kar unki tabayefon ki raatein,

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #sad_quotes #Kafan series#
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Ishq Dareeche se aati ek jhutha roshni h ab,
Isme chhalawa hai ab na hai sach savbhawik,
Moh kare ishq se,
 ya nirmohi ho jaye ab,
Zamane k ye ishq se wakiif hai ab Aabhik.

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #Sad_Status #Kafan series#
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

Kya Rubaru hua Ishq se, 
Is Zamane me Aabhik,
Sath the to saasen thi, 
Zuda hote mar gaye unki nazaro me,
Choonar ki rangai bhi ranrez ki, Kafan k rang bhi rangrez ke,
Koi kisike liye choonar me mra, To koi kisike liye Kafan me.

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik) #SAD #Shayari#Kafan series
ffbea85406f2d214fada494ddc795d15

Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)

White Kuchh Rishte usne bhi nibhaya, 
Kuchh vaadain hmne bhi ki,
Kuchh khudgarziyan usne bhi ki,
Kuchh maine bhi ki,
Kuchh  tyaga usne bhi hai,
 Kuchh virah hmne bhi li,
Kuchh dard usne bhi sahe ,
 Kuchh zakhm hmne bhi li, 
Kuchh ashk me aankhen uske bhige, 
Kuchh nam aankhe  meri bhi hui,
Kuchh mohabbat  tumne bhi kiye,
Kuchh  ishq  Maine bhi ji,
Kuchh Rishte...

©Abhay Pandey ( Pen Name- Aabhik)
  #Romantic #aalfeneishq
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile