Nojoto: Largest Storytelling Platform

New indian superhero comics Quotes, Status, Photo, Video

Find the Latest Status about indian superhero comics from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, indian superhero comics.

    LatestPopularVideo

Bhawani Bhunkal

Indian Superhero Shivaay

Gaon Ki Kahani…{गाओं की कहानी}

©️Author  __BHAWANI BHUNKAL

Is Ebook Mein Batayi Kahani Bilkul Kalpnik Aur Iska Kisi Vastvik Ghatna Se Koi Vasta Nahi Hai Aur Humara Kisi Ki Bhawanao Ko Thes Pahunchane Ka Koi Maqsad Nahi !

Doston Aaj Hum Is Ebook Mein Padhne Wale Hain Indian Super Hero Shivaay Ki Kahani Ye  Baat Aaj Se 30 Saal Pahle Ki Hain Yani Saal 1992 Ki.

Chapter 1….Shiv Ka Vardaan

09 June 1992….
Ek Kisan Tha Jiska Naam Nathuram Tha Aur Uski Ek Patni Bhi Thi Jiska Naam Santosh Tha. Aur Who  Bahut Garib Pariwar Se Talkul Rakhte The Aur Apna Jivan Vyatit Karne Ke Liye Jameen Ko Lease Par Liya karte The. Phir Uspar Kheti Karte Aur Zindagi Se Sangharsh Karte. Par Inke Koi Santan Nahi Thi.
Ek Baar Nathuram Apne Khet Mein Beej Bo Raha Tha. Aur Santosh Ghar Par Khana Bana Rahi Thi Apne Pati Ke Liye. Aur Santosh Khana Banane Ke Baad Apne Pati Ke Liye Khana Khet Le Jaa Rahi Thi Aur Raste Me Santosh Ko Gaon Ki Kuch Aurate Milti Hai Aur Unme Se Ek Aurat Santosh Ko Dekh Kar Bolti Ki Sakhiyon Dusri Gali Se Chalte Hain Hum Us Raste Nahi Jayenge Jis Raste Baanjh guzari Ho. Ye Sunkar Santosh Bahut Dukhi Hoti Hai. Aur Wanha Se Bina Kuch Bole Hi Khet Chali Jati Hai.
Aur Phir Khet Pahunchkar Apne Pati Ko Khana Khane Ke Liye Aawaj Lagati Hai.
Aur Nathuram Khana Khane Ke Liya Aata Hain. Aur Santosh Apne Pati Ko Khana Paros Kar Deti Hai Aur Nathuram Khana Khane Lagta Hai. Tabhi Uski Patni Rote Hue Use Bolti Hain Ki Suniye Ji Bhagwan Humse Konse Janam Ka Badla Le Raha Tabhi Nathuram Bolta Hai Kya Baat Hai Bhagyawan Tum Ro Kyu Rahi Ho Aur Aisa Kyu Bol Rahi Ho Parmeshwar Bhala Apne Bachon Se Kis Baat Ka Badla Lene Laga. Aur Aaj Tumhe Bhala Kya Hua Jo Tum Aisi Behki Behki Baatein Kar Rahi Ho. To Nathuram Use Smjhata Ki Parmeshwar Ek Din Humari Jrur Sunenge Aur Humein Santan Ka Sukh Awashya Dega . Phir Wo Dono Apne Ghare Chalein Aate Hai.

Shaam Ke 7:15 Pm….
                    Kafi Tez Barish Aur Toofan Chal Rhe The Aur Ghani Bijli Kadak Rahi Thi Lekin Ye Dekhkar Bhi                
Santosh Nathuram Ke Sath Apne Gaon Mein Bane Ek Shiv Mandir  Me Ja Rahe Hote Hain Aur Tabhi Raste Mein Achank Se Nathuram Behosh Hokar Gir Jata Hai Aur Santosh Use Sambhalne Ki Koshish Karti Aur Tabhi Santosh Dekhti Hai Hai Ki Nathuram Ko To Kisi Keede Ne Kata Hai Aur Nathuram Me Koi Hulchul Na Paakar Woh Bahut Jor Jor Se Rone Lagti hai Aur Bholenath Ko Yaad Karti Hai Ki Ye Tune Kya Kiya Kya Meri Zindagi Me Hi Ye Sab Dukh Likhe Hai Tune Aur Mandir Mein Apne Pati Ko Le Jati Hai Aur Bholenath Se Kehati Hai Ki Agar Mere Pati Jab Tak Uth Nahi Jate Main Is Shivling Par Apna Matha Pat-Patkar Apne Pran Bhi Tyag Dungi Phir Santosh Wanhi Karti Hain Aur Shivling Khoon Se Pura Laal Ho Jata Hai Santosh Ko Bhi Dheere Dheere Sharir Mein Khun Ke Kam Hone Chakkar Aane Lagte Hai Aur Who Behosh Ho Jati Hai Phir Agle Hi Pal Santosh Ke Kaan Me Mein Aawaj Padti Hai Utho Baita Santosh… Khadi Ho Meri Putri… Phir Santosh Aankhein Kholti Hai To Use Swaym Bholenath Dikhayi Dete Hain Aur Santosh Ye Dekhkar Bholenath Ke Charno Me Ro Rokar Puchti Hai Hey Bholenath Mere Sath Hio Aisa Kyu Karte Hai Aap Na To Pahle Mujhe Santan Ka Sukh Diya Aur To Aur Ab Mere Pati Ko Bhi Mujhse Door kar Diya Ab Mujhe Apne Is Jeevan Se Kuch Nahi Le Lena Main Bhi Apne Pran Tyag Dugi To Shiv Santosh Se Kahte Putri Aisa Aisa Karne Ki Tumhe Koi Jarurat Nahi Hai Putri Main Tumhari Bhagati Se Patni Dharam Se Khush Hokar Tumhe Vardan Deta Hu Ki Tum Ek Tejsavi Balak Ko Janma Dogi Jiska Koi Ant Nahi Kar Sakta Aur Usme Bahut Sari Shaktiyan Bhi Hogi Jinse Woh Is Prithvi Ke Logi Madad Karega Aur Tumhare Pati Bhi Bilkul Thik Ho Jayenge Itnna Kahte Hi Bholenath Vanha Se Adrishya Ho Jaate Hai Phir Nathuram Bhi Khada Ho Jata Hai Ye Dekhkar Santosh Ko Bahut Hi Jyada Khushi Hoti Hai Aur Phir Apne Pati Se Bolti Ki Aaj Bhagwan Shiv Shankar Ne Swayam Darshan Diye Hai Mujhe Aur Santan Ke Sukh Sath Sath Aapko Jeevan Daan Diya Hai Vardaan Mein To Nathuram Bhi Bahut Khush Hota Hai Phir Dono Mandir Me Matha Tek Kar Apne Ghar Aa Jate Hai.


Chapter 2….Superhero Ka Janam

01 April 1993….

               Raat Ke 2:15 Baje Usi Shaam Ki Tarah Bahar Bahut Aandhi Tufaan Chal Rahe The Aur Nathuram          Apni Patni Santosh Ke Sath So Raha Hota Hai Tabhi Achank Santosh Ke Pet Mein Bahut Tez Dard Hone Lagta Hai Aur Ye Dekhkar Nathuram Chintit Ho Jata Hai Aur Phir Nathuram Bhagkar Ved Aur Daai Ko  Bulakar Laata Hai Aur Santosh Ko Dekhkar Nathuram Se Bolti Hai Ki Ghabrane Ki Koi Baat Nahi Hai Ab Tumhai Santan Is Duniya Mein Kadam Rakhne Jaa Rahi Hai Ab Aap Dono Bahar Jaiye Yanha Main Sambhal Lungi Aap Fikar Mat Kijiye Sab Kushal Mangal Hoga Itna Kahkar Daai Darwaja Band Kar Deti Hai Aur Nathuram Bahar Khada Bholenath Prathna Kar Raha Hota Tabhi Uske Kaano Mein Bache Ki Kilkane Aawaj Padti Hai Aur Nathuram Ye Sunkar Muskurata Hai Hai Aur Phir Daai Nathuram Ko Uska Bacha Dikhati Aur Kehti Hai Nathuram Parmatma Ne Tumhari Sunli Aur Ek Pyaar Beta Diya Hai Dekho Aur Is Khushi Me Mithai Vaghera Khilao Ye  Sunkar Nathuram To Maano Aasman Mein Udne Laga. Phir Nathuram Apne Bache Ko God Mein Uthata Hai Aur Aasman Ki Aur Karta Hai Aur Kehta Hai Ki Ye Tumhara Hi Chamtkar Hai Hey Mere Bholenath Jo Tumne Is Ujhde Hue Bhag Ko Phir Hara Kar Diya Aaj Se Iska Naam Bhi Log Tere Naam Se Hi Janege Shivaay.
Phir Kuch Dino Baad Nathuram Apne Ghar Apne Bete Ki Khushi Mein Ek Chotta Sa Aayojan Rakhta Hai Jisme Nathuram Kuch Gaon Walo Aur Apne Rishtedaro Ko Shamil Hone Ke Liye Aamntrit Karta Hai.

Aayojan Ke Din….
Gaon Wale Aur Nathuram Ke Rishtedaar Sabhi Aayojan Me Shamil Hote Hai Aur Unme 2 Log Aur Bhi Shamil Hote Hai  Jinme Se Ek Ka Naam Maha Bhairon Aur Dusre Ka Kaal Shanatuk Hota Hai Aur Wo h Dono Rakshash The Jo Ki Bhesh Badal Kar Aayojan Me Shamil Ho Jate Hai Jo Ye Sabh Dekhkar Bilkul Khush Nahi Hote Kyu Ki Unhe Pata Hota Hai Ki Ye Bholenath Ka Hi Avtaar Hai Jo Ki Khud Shiv Ne Hi Liya Hai Dharati Se Paap Ka Vinash Karne Ke Liye Isi Darr Se hi Kanhi Woh Bada Hokar Unka Hi Ant Na Kar De. Isliye Woh Shivaay Ko Maarne Ke Liye Aayojan Me Shamil Hote Hai Aur Phir Maha Bhairon Kaal Shanatuk Ko Shivaay Ko Marne Ke Liye kehta Aur Kaal Shanatuk Shivaay Ko Marne Ke Liye Santsoh Ke Kamre Me Jata Hai Hai Aur Kamre Akela Shivaay Jhule Me So Raha Hota Hai Tabhi Who Rakshahs Shivaay Ko Uthakar Kamre Se Bahar Ki Taraf Fenkata Hai Aur Wanha Khade Sabhi  Ye Dekh Rahe Hote Hai Tabhi Achank Se Wanha Ek Bahut Bada Aur Khushbu Se Mehhkata Hua Sundar Sa Kamal Ka Phool Dharati Se Apne Aap Bahar Aa Jaata Hai Aur Shivaay Seedha Jaakar Us Phool Me Ghirata Ye Dekhkar Log Kafi Aashcharya Chakit Rah Jaate Hai Aur Wanha Khada Maha Bhairon Bhi Hairan Ho Jaata Hai Dekhkhar 
Phir Who Rakshash Bahar Aata Hai To Dekhta Hai Shivaay Ko To Kuch Hua Hi Nahi Par Shivaay Ko Kya Hone Wala Tha Kyuki Woh Khud Ek Shiv Ke Avtaar The.

©Bhawani Bhunkal Indian #Superhero #Shivaay

#chaand

ARORArt

Say it Logan or Wolverine. He would always be my favorite superhero. I wished this series never ended. #Art #ARORArt #Nojoto #nojotoart SUP #Superhero #Comics

read more
  Say it Logan or Wolverine. He would always be my favorite superhero.
I wished this series never ended.
#ART #ARORART #NOJOTO #NOJOTOART #SUP

Schizology

Superhero #Quote #Superhero #Equal

read more
Superhero



I don't think I want my kids looking up
To a superhero
I want them growing up knowing they
Are an equal

©Schizology Superhero

#Quote #Superhero #Equal

Vishant rana

Comics bob #Sports

read more

Vishant rana

Comics bob #Sports

read more

Vishant rana

Comics bob #Sports

read more

Vishant rana

Comics bob #Sports

read more

Vishant rana

Comics bob #News

read more

Vishant rana

Comics bob #Sports

read more

Akheeb

superhero #Quotes

read more
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile