Discover & Read Best Stories about hindi kahniya. Also Read about .
Hindi Itni uncool nahi
Bullet train ke Iss zamaane me Laupat gaamini ka kya hai kaam,
Aur dimaag toh almond se hi banta hai, Phir kyu khaate hain hum baadaam,
Iss Dhwani Vistarak yantra (mic) me, main bas itna hi kehna chahta hoon,
I don't want to go with the flow yaar, main behna chahta hoon.
Aur Hindi humaara abhimaan hai, hai yeh Koi bhool nahi,
Arre bandhu samjho, Hindi Itni bhi uncool nhi!
Ghoomte Ghoomte ye pankha fan bann jaata hai,
Aur Accha bhala aadmi man bann jaata hai.
Kahan gayi wo akad, ab toh swag hi swag chaaya hai
Everything is fake ke bhaiya, Sab moh Maaya hai.
Main nahi kehta ki Julius Caesar me dum nahi,
Par Haan, Gangs of Wasseypur bhi toh kisi se Kam nahi.
Toh point yeh hai bandhu ki Hindi ka Samman Karo, hai wo pairon ki dhool nahi
Arre bhai samjho, Hindi Itni bhi uncool nahi.
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai ki yadi Hindi na hoti toh kya hota?
Hindi na hoti toh panchatantra bhi kahaan hota,
Naa hota Gulzaar, Vishwas bhi kahaan hota,
Iss samaaj ke kuch diggajon ka prachaar bhi kahaan hota,
Love toh hota janaab, par saccha pyaar bhi kahaan hota,
Naa hote muhaavre , naa hoti lakoktiyan, aur rehte hum kavi majboor yuhi,
Tabhi main kehta hoon, Hindi Itni bhi uncool nahi.
Ab dil ki daleelon se dilaasa de deta hoon khudko,
Hindi humaari hakeekat nahi, history hai, yeh samjha leta hoon khudko,
Kathit karte samay Iss kavita ko, kaamp uthta hain kanth mera,
Man mein maujood mere dard ko kaise Karoon main bayaan,
Ye toh bas Hindi ko khone ka darr hai, main Koi emotional fool nahi,
Arre maan bhi jaao yaar, Hindi Itni bhi uncool nahi.
Hindi Bhasha nahi, bhaavon ki abhivyakti hai,
Hindi ki mahima se acchoota shayad hi Koi vyakti hai,
Hindi me alfaaz hai, Hindi me jazbaat hai,
Aisi kai mehfilen saja de, Hindi me woh baat hai,
Hindi toh ek Pearl hai, jiska Koi tool nahi,
Ab toh samajh hi Gaye honge aap, Hindi Itni bhi uncool nahi!