Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best mat_kar Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best mat_kar Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about ashiq hu me dil ka mujhe jeena mat sikha lyrics, mat pooch ke kya haal hai mera tere aage lyrics, mat pooch ke kya haal hai mera tere aage, beta beta mat kar sasu tera beta mera hai, beta beta mat kar sasu beta mera hai,

  • 2 Followers
  • 2 Stories
    PopularLatestVideo

Sultan Mirza

{Dil ki baat Series part 2)

--------#Shikayat_mat_kar 👇👇👇
• Apni qismat ki
• Aoulad k samne apne badon ki.
• Apna zati makan hote huwe makan ki tangi ki.
• Bhool kar bhi apne Maa Baap aur ustad ki.
• Gair k samne apne dost ki.
• Biwi k samne un k ghar walon ki.
• Rokhsat karne k baad apne mehman ki.

------------ #Mat_Kar 👇👇👇🏾👇👇
• Irshad khudawandi aur Ahkam Rabbani se kinara kashi.
• Sunnat Nabwi s.a.w se Ai’teraz.
• Kisi per zulm
• Haq baat se inkar.
• Bagair Etemad k kisi per bharosa.
• Bagair mashware k koi kaam.
• Kisi per nokta chini.
• Rishtadaron se qata tal’luqi.
• Hajat mand rishtedar ko na ummeed.
• Peeth k piche kisi ki burai.
• Kisi k kehne per sonche samjhe bagair aml.

• Jab Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton sonchna Mukhtasar bolna

Allah ki Dosti us shaksh k dil me nahi ho sakti jis k dil me Allah ki Makhlooq ki #Mohabbat_aur_khair_khwahi_na_ho.

• Sacchi dosti ye hai k Muflisi me dost ki zyada madat ki jayen.

• Jis ne Quran pak ko samajh liya goya us ne Duniya o Aakhirat ko palia.

• Buland iradon k Alawa howsla bhi zaroori hota hai.

• Azeem hai wo dil jis me doosron k liye dard ka Ehsas ho.

• Bharosa aik aisa phool hai jo shak ki bo soongte hi murjha jata hai.

• Ilm ye hai k agar koi tum per Zulm kare to use muaaf kardo.

• Bahtareen kalam wo hai jis se sunne wale ko malal na ho.
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
• Khamushi aaib nahi bal k be wajah bolna aaib hai.
• (Aalim) ilm se pehchana jata hai.
• (Muttaqi) taqwe se pehchana jata hai.
• (Momin) Josh iman se pehchana jata hai.
• (Insan) Apne kirdar se pehchana jata hai.
• (Dost) Waqt padhne per Pehchane jate hain.
• (Dushman) Tanhai me pehchana jata hai.
• (Sipahi) Maidane kar saaz me pehchana jata hai.
• (Tabeeb) apne tajrube aur qabiliyat se pehchana jata hai.
• (Dana) apni aqalmandi aur danishwari ki buniyad per pehchana jata hai.
• (Jahel) apne jahel ki wajeh se pehchana jata hi.
Jazakhallah khair

©Sultan Mirza

Its_Zain_here

own words #mat_kar

read more
mute video


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile