Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best Jaanipoetry Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best Jaanipoetry Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos aboutlove you jaan shayari in hindi, love you my jaan shayari, tu mera dil tu meri jaan i love you daddy, love you jaan shayari, good morning meri jaan i love you,

  • 1 Followers
  • 23 Stories

Deep lonley wiidout uh

Kaagaz par to adaalat chalti hai JAANI


Maine to
Teri aankho ke faisley manzoor kiye hai


#Tarjani pagare Written by tarjani pagare #Jaani #Tarjani #Shaayarjaani #Jaanisays #Jaanipoetry #Jaanishayari #Jaanitarjani #Jaaniwrites

Deep lonley wiidout uh

Mere likhe lafzo'n ko sirf padho mat JAANI

Unhe mehsoos karo phir kahin shayad aap mera dard samajh paaoge



#Tarjani pagare written by tarjani pagare #Jaani #Tarjani #Jaanitarjani #Jaanisays #Jaanishayari #Jaanipoetry #Jaaniwrites #Shayarjaani

Deep lonley wiidout uh

Duniya mein aur bhi shayar hai bohot acche 

Par kehte hai GHALIB ka hai, andaaz-e-bayaa'n kuch aur


Hoga koii aisa bhi jo JAANI ko naa jaane

Shayar to woh bhi bohot accha hai, par badnaam bohot hai


#Jaani #Jaani #Ghalibsaab #Jaaniwrites #Jaanisays #Jaanipoetry #Shaayarjaani

Deep lonley wiidout uh

Kaam bigad gaye, Khwaab bikhar gaye


Sukoon huaa fanaah, yaar bikhar gaye



#Jaani #Jaani #Tarjani #Yaari #Yaar #Jaanisays #Jaanipoetry #Jaaniwrites #Shayarjaani

Deep lonley wiidout uh

Bujh padey diye shamaa jalaane ke baad

Aaya haal-e-dil pe rona, yaad tere aane ke baad

Reh gaye, tere kadmo mein raaho ki tarah hum

Kisey kar diya aabad ek mere jaane ke baad

Silsila chaahto ka bhi nakaam raha,dikhawe par bik gaya ek be'emaan

Yu'n to har din beet jaata  tha JAANI
Par aaj rona aaya iss shaam ke baad

Hum paa naa sake muddato ke baad bhi

Par ban gaya woh kisi ka chand jhooti rasme, waado ke baad 

#Jaani #Jaani #Tarjani #Yaar #Jaanisays #Jaanitarjani #Nojoto #Nojotopoetry #Nojotoshayari #Nojotohindi #Nojotourdu #Jaanipoetry #Shaayarjaani #Jaaniwrites

Deep lonley wiidout uh

Labho'n tak laaye par bataaya bhi nahi
Tu kyun gaya tune bataaya bhi nahi

Kya baat hai, kya maazra hai aisa
Huyi muddat tune sataaya bhi nahi

Ab huye ruswaa, dayaar mein dono
Bich ka faasla tune mitaaya bhi nahi

Hai haal mera ab ki thoda be'bas
Tune kuch apna sunaaya bhi nahi

Chhupa raha jo, aaj keh diya JAANI ne
Is mein, kya-kya usne bataaya nahi

#Jaani #Jaani #Tarjani #Deep #Jaanitarjaani #Shayarjaani #Jaanisays #Nojoto #Nojotoshayari #Nojotoquotes #Nojotopoetry #Nojotostories #Nojotourdu #Nojotohindi #Nojotoenglish #Feelthewords #Jaanipoetry #Jaaniwrites #Zaalimshaayar

Deep lonley wiidout uh

Lafz khaamosh fariyaadi hai
Dil yaha'n naam ko dhadak raha hai

Koii shamaa bujh padhi hai
Koii yaad mein tadap raha hai

Milne ki khwaaish liye zinda hai
To mil kar koii bicchad raha hai

Yeh zindagi ki haqeeqat hai JAANI
Gair-ajeez, to ajeez-gair ban raha hai


#Jaani #Jaani #Tarjani #Zindagi #Jaanitarjani #Feelthewords #Jaanisays #Jaanipoetry #Nojotoshayari #Nojotopoetry #Nojotourdu #Nojoto #Nojotohindi #Nojotoenglish #Jaanishayari #Shayarjaani #Jaaniwrites #Nojotoquotes #Zaalimshayar

Deep lonley wiidout uh

Yu'n naa raho chup ke ruswaa ho jaaye
Wafa bhi naa nibhey aur bewafa ho jaaye

Yaa ilaahi kya hungama utaara zameen par
Naa jaane kaun kab kiska khudaa ho jaaye

Shikast-haal-e-namrood sa hai tera
Naa jaane kaun tera ibraahim ho jaaye

Hoti nahi duaaein laa haq qabool ab koii
Kaunsa gunaah band-o-khisht ho jaaye

JAANI aisa bhi miley jahan mein koii
Jaan sadkey baney dil nisaar ho jaaye

#Jaani #Jaani #Tarjani #Farazsahab #Jaanitarjani #Shayarjaani #Jaanisays #Nojotoshayari #Nojotopoetry #Nojotourdu #Nojotohindi #Nojoto #Nojotoenglish #Jaaniwrites #Jaanipoetry

Deep lonley wiidout uh

Jo gulaab teri zulfo'n taley
Mere haatho'n kabhi sajj naa paaya JAANI

Woh surkh phool meri kitaabo mein aaj bhi hai


#Jaani #Jaani #Tarjani #Feelthewords #Jaanisays #Jaanitarjani #Jaanishayari #Shayarjaani #Jaanipoetry #Jaaniwrites #Jaanisays

Deep lonley wiidout uh

Guroor odh kar kuch logg bade itraane lage hai

They kabhi jo mere hi mureed fann mujhe hi aaj sikhaane lage hai

Lehze bad-gumaani dikha kar mujhe adab kya sikhaane chale hai

Yeh bhi kuch kam nahi JAANI  jinke khud ke khaate bigde padhe hai 

Wo aaj mujhe hisaab ke maayne sikhaane chale hai

Guroor odh kar kuch logg bade itraane lage hai

#Jaani #Jaani #Tarjani #Guroor #Jaanitarjani #Feelthewords #Jaanisays #Jaanipoetry #Shayarjaani #Jaaniwrites #Zaalimshayar #Farazsahab #Ghalibsaab
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile