Nojoto: Largest Storytelling Platform

Special chai isliye nhi kj crush ke saath ganga k

Special chai

isliye nhi kj crush ke saath ganga kinare pi h
mumi -papa k saath lonavla 
ya dosto ke saath 
ya apni girl gang k saath
ya kisi pyare dost  ke saath zindagi ki baatein krte hue
halaki yeh  chai k  lamhe bhi yaadgaar h
par

yeh chai do anjaan logo k saath pi gi 
jinka mujhe naam bhi ni pta tha 
safar mein mili maa beti k saath

uss waqt jb mein sochri thi ki 
iss bus mein nhi aana chaiye tha
ku aaj hi mera bulava tha

usi waqt unhone mujhse chai ke liye pucha
mere nazdiki jante hain ki mujhe chai ni psnd
or mere nazdiki meri adat ko bhi jante h ki
mein har chiz mein phle na krti hoon phir haa krti hoon

par jb unhone mujhse chai ke liye kha to 
mein na nhi kr pi 
ek baari mein haa krdiya
mujhe chai pini hini thi
mujhe to hudak kadi kachori khane ki thi

par jb apni ma ke saath ayi
uss 19 saal ki ldki ne
ne 3 cup order kre to bdi khusi se kre 
uske chere par khusi or ankh mein nami 
boli di jb papa k saath aate the to har baar
yhi chai pite the
whi hmare 3 cup
dekho hum aaj bhi 3 cup hi pire h

mujhe phli bar wo kadvi chai mithi si lagi
or yeh meri lyf ki suddenly best chai thi
wo 19 saal ki ldki jo waqt se phle mature hochuki thi
use bhut khusi thi usi same dukaan par 
aaj bhi 3 cup order krte hue

mujhe ek film dailogue yaad aaya 
jo bilkul shi h
ki kb kha apko kisse milna hain
yeh phle se hi bhagwan ki dairy mein teh hain

mujhe chai ki ek ghoot bharte hi jwaab mil gya
ki jis trip m aane se mein itna darr rhi thi
wo bhagwan ki marzi thi
teh tha ki mujhe inke saath chai peeni hain
inka teesra cup pura krwana tha
syd 2 cup order krte hue us ldki k chehre par udaasi hoti
yaad to wo apne pita ko krri thi 
par thoda muskurate hue ki 3 cup h aaj bhi
3 cup na hote to wo dukhi hokr yaad krti 
ki aaj wo apne papa ke bina 2 cup chai pire h

phir wo apni maa haath pkd boli
maa mother day hain
kya dere ho mujhe or muskurayi
or iss trh safar chlta rha

©pooja gupta
  chai
#nojota #nojotohindi #nojotoLove #Video #write #Poet #poem #kahani #treanding #films