Nojoto: Largest Storytelling Platform
azimnoor6613
  • 210Stories
  • 342Followers
  • 2.1KLove
    3.1KViews

Azim Noor

हाल जानकर क्या करोगे। इश्क़ है तुमसे,क्या'इश्क़ करोगे।'

www.khayaleazim.wordpress.com

  • Popular
  • Latest
  • Repost
  • Video
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Sukoon ki talash hai,
Bechain sa firta hu,
Dard wohi purane hai,
Koi nayi baat nahi,
saap bahut pale hai,
haat ki aasteen mein,
Dhoke kai khaye hai,
peet per apno ke khanjer bhi jhele hai,
Narazgi ki baat nahi
ab nafrat si hoti hai,
Haqiqat ye hai ki ab mein
koi aitraaz nahi karta,
Mein bolta sabse hu
per baat nahi karta.

©Azim Noor #snowpark #khayaleazim #Feeling
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Red sands and spectacular sandstone rock formations Abhi tak ankha hai kirdar mera,per
mere bina kitno ki kahaniyan adhuri hai.

©Azim Noor
  #Sands #nojohindi #kahani
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Year end 2023 Ye saal khatam per is umeed ka kya karu,
Kuch khwahishen mujhe naye saal me b hai.

©Azim Noor
  #YearEnd #khayaleazim
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Waqt nikal raha hai haat se,
Majboor hu apne halaat se.
Soch mein hu kal raat se,
Naraaz hu kis se, kis ki baat se.

©Azim Noor
  #samay #khayaleazim #nojohindi
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

kya hua ke zamane ne tukdaya hai,
sabhi insaan ko mola ne banaya hai.
kuch likha hoga meri kismat mein,
jo mujhe tanhai se ladna sikhaya hai.

©Azim Noor
  #standAlone #khayaleazim #Kismat #alone
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Ab tera intezaar nahi karte,
Ab mahfil abaad nahi karte.

Kar chuke hai khud per itna zulm,
Ke ab khud ko sharmsaar nahi karte.

Kha chuke hai dhokha kayi baar zindagi me,
Isliye kisi pe jaldi eitbaar nahi karte,

©Azim Noor
  #touch #Believe  #khayaleazim #Break_up_day
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Aaj ki raat bhi khud se baat per khatam huyi,
Baat kis baat se shuru kis baat per khatam huyi,
Jaali log kar rahe hai is jagah mein tarakki,
Imaandari ko sadak aur jalalat naseeb huyi.

©Azim Noor
  #khayaleazim #nojohindi #poem #Shayar #Raat
a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

BoL diya chal tune jo bol diya,
ab pass a maafi mang me hu yahi khada,
chal maag le mafi fir moka nhi milega 
maafi maagne ka,
maut ka bharosa nhi h kisi ka.

zindagi choti ho ye chalta hai,
suraj jo ugta hai wo bhi to dhalta hai,
phele rakta tha pass apne dost bahut,
jab dekhi asli duniya to aaya ye samaj dost,

pass jitne pass yaar sab matlabi,
moke par dege ye saat ganta nhi,
isliye sabhi se mein dur ho gaya,
apna takiya liya aur bahar so gaya,

ab sochta hu kon asli kon nakli,
mein jitno ko izzat di utno ne rakhli,
mujhe b toh bapas me izzat milni chahiye,
chahiye mujhko b mere hisse ka chahiye,

apne hi baithe hai mera hissa leke,
jaan ke ye dusman pade hai haat dhoke.

tu b to dhoka unhe de skta hai,
badla apna sab se le skta hai.

per kaise bhool jau nasiyat apne baap ki,
dhayan rkna sabka,leke chalna sabko saat b,
aaj bhi yaad hai sari baatein apne ma baab ki,
zimmedari jo di uski hi ab tak meine laaj ki,

sare kiye wado ki wajah se zinda hu,
warna me to ander se muqummal mar chuka hu.
dhanyawad dhanyawad sabka kar chuka hu.
sara ghum apna panno per likh chuka hu.
Takliya

©Azim Noor BoL diya chal tune jo bol diya,
ab pass a maafi mang me hu yahi khada,
chal maag le mafi fir moka nhi milega 
maafi maagne ka,
maut ka bharosa nhi h kisi ka.
#Fire #nojohindi #khayaleazim #Rap #poem #Life_experience

BoL diya chal tune jo bol diya, ab pass a maafi mang me hu yahi khada, chal maag le mafi fir moka nhi milega maafi maagne ka, maut ka bharosa nhi h kisi ka. #Fire #nojohindi #khayaleazim #Rap #poem #Life_experience

a6c4f25749b4268e00c440dbfa582c4d

Azim Noor

Ek subah nikluga mein bhi sukoon ki talash mein,
Bas ye raat lambi raat kisi tarah khatam ho jaye.

Mere apne mujhe chahte hai mein unko khush karu,
Thik hai ek baar meri khud se ladai khatam ho jaye.

kabhi nikal paya khud ki banai deewar se to miluga,
bas ye mere rab ki di gayi aazmaish khatam ho jaye.

©Azim Noor
  #Journey #khayaleazim #Raat #Life #Subah  #thought #nojohindi
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile