Nojoto: Largest Storytelling Platform
aakashkumar1476
  • 108Stories
  • 4.7KFollowers
  • 631Love
    79Views

Aakash Kumar

  • Popular
  • Latest
  • Video
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

likh naa sakaa ab talak jise
tm wo khubsurat saa khwaab ho...

saadgi ho,safed ho yaa kisi sukoon bhari sangeet kaa raag ho..
khud ko andhere mai v rakh lun jiske khatir
tm wo umeed bhari chirag ho...

tere hone se khud ko mukammal keh sakun
tm mere liye itni naayab ho...

Mai uljha hua koi sawaal saa hun
tm suljhi hui jawaab ho...

likh naa saka ab talak jise 
tm wo khubsurat saa khwaab ho...

©Aakash Kumar #Light
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

uskii aankho mai
Naa fikr thi ,naa hi mere durr chale jaane kaa koi gum tha..
uski baatein,uska jhagdna,uska roothna sab ku6 sufiyana ishq lagta rha jab tak paas tha uske..
par durr hua to jaana ye sb mera waiham tha..

©Aakash Kumar #lunar
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

Mai jo keh deta hun har baat itni aasani se..
ye baatein mai khud pe aazma pata nhi.

Badla mai v le sakta hun..thik uske hi tor-tarike se
par chhoti saazishon ke liye mujhse khud ko badla jaata nhi..


chandni raat mai jo chale aate hain
 Bhid mai dene dilasa
amawas mai koi saath reh jaata nhi..

Itne tassali se jhut bol rahe hain sb
ki ab sach sunn ne koi aata hi nhi ...

©Aakash Kumar #Anger
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

wo jo durr h 
khubsurat h..
waise v kise kiski jarurat h

Durr se dekhoge 
To khuda hain sbb...
Ittefaq se jo kavi mill liye unse
To jaanoge sb bss murat h..

©Aakash Kumar #Journey
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

Thamte dekha hai mai ne waqt ko 
kisi se pahli mulakaat mai...
pyaar dekha hai mai ne gusse mai
papa ki har daat mai..
himmat deti hogi subah ki wo nayi kiran
par sukoon ko aksar dekha h mai ne andheri raat mai..


sabne sab ko naa jaane kaise kaise baanta h
amir-garib,taqatwar-kamjor,or naa jaane kitni jaat mai..

Mai ne to sabko ek saa tut-te dekha h
rone waale haalaat mai...

©Aakash Kumar #halaat 

#Saffron
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

yun kab talak rahogi khamosh khamakha
khamakha; kb takak ye duri hogi. ..
naa kro kosis yun hi bss bhul jaane ki
khamkha; tumhari har kosis adhuri hogi.

©Aakash Kumar khamakha#

7 Love

fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

kisi ko chahhne ki ab izaajat nhi hoti
mujhse ab teri yaadon ki hifaazat nhi hoti.
padh leta hun ab v kitaabein bht si
Bss ab kisi ek kitaab ko padhne ki aadat nhi hoti...

or koi jung hara nhi hai mai ne
wo to bss mujhse mohabbat mai khilafat nhi hoti..
 Har ibaadat ishq hai
par har aashiqi ibaadat nhi hoti..

©Aakash Kumar #Adhura #adhuraishq
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

ku6 jo agr nhi v tha fir v ek kahani thaa..
ham smjh rahe the ki hamare bich sab ruhaani tha.
Bss jawab dhund rha hun mai v
ki jo durr talak dekha tha tere ishq ke safar mai wo mytha tha yaa sach mai paani thaa..
 Baimaan ishq tha hamara yaa ishq mai hua baimaani tha..
Hame to yaad hai daastan saari
vidambna ye hai ki wo bhul baithe hain jinhe sb ku6 yaad muhjabani tha..

khair
jo agr ku6 nhi v tha
fir v ek kahani thaa...

©Aakash Kumar
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

jydaa likhtaa nhi ab..
jydaa dikhtaa nhi ab..
Mulaakaat ab v bht hote hain.. acche logo se
par jajbaaton pe mai biktaa nhi ab..
sikhne sikhaane kaa daur hai..
 koi tiktaa nhi ab..
toofaan hai andr sawalon kaa
par jydaa likhtaa nhi ab...

©Aakash Kumar #findyourself
fad5b981aace6c181de03b0c19e3dbee

Aakash Kumar

Bht tezi se badal rhi hai har chij..
kitno ne hain khoo diye apne apne aziz..
log marr ke bichad rahe hain..
jo jii rahe wo tadap rahe hain..
Apno se sb durr hain
Thoda tarika alg hai iss baar
par sirf maut ki hi kahaniyaa mashoor hai..
ku6 de rahe hain apni jindgi daao par dusro ki khaatir..
to ku6 jindgi kaa saudaa karke kala bazaari mai ab bhi chur hain..
kudrat ke iss maar se har koi baibas or majbur hai..
saath de do iss ghadi har koi ek duje kaa..
fir kvi kar lenge  baat ki kiskaa ye kasur hai.. #covidindia #Hope #FightBackCorona
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile