Nojoto: Largest Storytelling Platform

New zimmewari Quotes, Status, Photo, Video

Find the Latest Status about zimmewari from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, zimmewari.

Stories related to zimmewari

    LatestPopularVideo

Ravi Atal

zimmewariya #alone #Love #needlove

read more
क्या कहते हो प्यार भुलाया नहीं जाता
जिम्मेवारियां लेके देखो
खुद को ना भूल जाओ तो कह देना

©Ravi Atal zimmewariya
#alone #Love #needlove

hansmeet kour

Voice of every housewife who sacrifices her ambitions, career for the family par phir b kuch time baad she is let down aur yeh kaha jata ha #Marriage #Women #yqbaba #yqdidi #ehsaan #Housewife #hans11

read more
Tere 'Ehsaano' ka bhoj (voice of every multitalented housewife)

Saath safar mein humkadam the kabhi,
Aaj milo ki doori... Doori bharne nhi deta,
Tere ehsaano ka bhoj aage bhadne nhi deta...!

Tu yeh gila kre k meri raftaar dheemi hai bhut 
tujhe apni udaan pe ghuman hai 
mein qabil nhi tabi peeche rahi 
warna kyu mein zameen tu asmaan hai..?

Tinka tinka teri uttaran ko khud pe sjaya hai maine 
kandho pe laade bhaari kadmo se khud ko chlaya hai maine 
haan maana k aaj teri udaan unchi hai bhut 
par na bhool tere kadmo ko pankh bnaya hai maine.....

Teri udaan mein saath na hui to kya...
 Tu falak pe sahi mein zameen hui to kya.... 
Zimmewariyo ki potli aaj b mere kaandhe par hai 
bsss mere kadam udte nhi to kya..

Falak tak ka safar mushkil nhi hai tai karna.... 
Potli utar udaan bhar hi lungi... 
Par kuch vaade hai jo saath kiye the kabhi.. 
Un vaado ka mol aisa karna nhi deta... 
Tere ehsaano ka bhoj aage bhadne nhi deta... 

Saath safar mein humkadam the kbhi...
Aaj milo ki doori...Doori bharne nhi deta!!!!!! Voice of every housewife who sacrifices her ambitions, career  for the family par phir b kuch time baad she is let down aur yeh kaha jata ha

sheetal dabi

#firstquote Khamkhan Jaruri to nahi tumhe meri har baat achhi lge, apne gamo ko chhupa meri khatir tu hi muskuraya n kr

read more
                   Khamkhan

Jaruri to nahi tumhe meri har baat achhi lge, apne gamo ko chhupa meri khatir tu yu muskuraya n kr
Khamkhan is dil ko bahlaya na kr

Ye aankhe tumhe sare khubsurat rangon ka libaasme lipta dekhna chahti h, meri aarzoo ko pura na karke tu itraya na kr
Khamkhan is dil ko yu to jalaya na kr

Janta hu mere alawa bhi kai zimmewariyaa h tumhari, par wada milne ka krke aur mujhe bula kr khud bhul jaya na kr
Khamkhan is dil ko yu tadpaya na kr

Tumhe b hasrat to h meri, ye janta hu mai, par anzaam is rishte ka sochkar ghabraya na kr
Khamkhan apne dil ko fizool ki baatein samjhaya na kr

Tumhe mujhse beintehaa ishq h ye lafz sunne ki khawahish humesha se rakhta hu, 
Ruth kr meri nadaniyo par, jaao nahi baat krni ye keh ad jaaya na kr
Khamkhan phool k se apne chehre ko murjhaya na kr

Nahi dekh sakta mai tumhe aaine me khadi khud tumhari parchhayi k bhi sath,
Ise mera pyar hi smjho, mere ruthne par yu aansu bahaya na kar,
Khamkhan aansuo ko apne yu zaya na kar  #firstquote

                  Khamkhan

Jaruri to nahi tumhe meri har baat achhi lge, apne gamo ko chhupa meri khatir tu hi muskuraya n kr
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile