Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best tumhari_yaad_aati_hai💔 Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best tumhari_yaad_aati_hai💔 Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about

  • 1 Followers
  • 12 Stories

Kashish Desai

Tears and Smile  Zindagime kuch kamiyaan aesi hoti hai, jo shayad zindagi bhar rehti hai.....
Aur tum zindagi ki wahi ek kami ho.....

#tumhari_yaad_aati_hai💔

#$11❤️forever

#dans_votre'attente

Kashish Desai

Ink and Pain Mera wo college ki cricket team me se bahar khelne jaana,
Mere jaane se pehle tumhara wo apni lab chhodkar muje milne aana....
Mere saath kuch waqt bitana....
Muje jaanese mana karna....
Aur fir mere jaane ke 10 minute baad muje call karke bolna ki, 
"I have already started missing you."....
Yaad aata hai....
Aesa lagta hai jaise tumhare jaane ke baad maine khud ko hi kho diya hai....

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Aaj bhi tumse utni hi mohabbat hai jitni pehle thi....
Shayad isiliye tumhari har chhoti-badi chize yaad aati hai….
Tumhare sath chali hui wo raahein yaad aati hai….
Tumhare sath Navratri me baat karte hue bitayi raatein yaad aati hai….
Tumhari wo muskaan yaad aati hai: tumhara wo gussa yaad aata hai….
Tumhare saath bitaya har ek pal yaad aata hai..!!

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Jo banda kabhi bhagwan ke mandir nahi jata tha….

Uska har mandir aur har masjid me jaakar bas tumhari khooshiyo ke liye duaa mangna….

Kyuki wo tumhe khush dekhkar khush ho jaata tha….

To wo pyaar nahi to aur kya tha..??


#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Mera wo tumhe kho jaane ke darr se rone lagna….
Aur fir tumhara muje samjaana ki; "Jis chiz ko hum khud se bhi jyada chahte hai use khone darr hamesha hame rehta hai…."
Aur fir bhi mera tumhe ye kehkar rona ki "Main tumhe kabhi bhi khona nahi chahta" yaad aata hai….

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Tumhare udas chehre ko wo mera hasana....
Tumhara wo mujse baatein karte-karte apne saare raaz bata dena....
Tumhara wo apni photos dikhana jinme aajbhi tum apna bachpan dhundhti ho....
Tumhara wo apni bhai ki photo dikhana aur bolna ki "Isme wo 'Jai' kam aur 'Jaimini' jyada lag raha hai"....

Yaad aata hai....

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Tumhara wo achanak college bus me aakhri seat par muje hug kar dena ye kehte hue ki mere papa ke baad mera sabse jyada khayal tum rakhte ho….

Aur mera tumhare kaano me halkese ye kehna ki "Kabhi chhodna mat..!!" ; Aur tumhara "Kabhi nahi" kehna yaad aata hai..!!

#tumhari_yaad_aati_hai💔

#25thSaptember_2017

Kashish Desai

Ink and Pain Tumhara college ki bus me ghar jaate waqt wo mere kandhe par sar rakhkar so jaana….
Aur mera wo tumhari zulfo me haath ferna yaad aata hai….
Mera wo tumhara hath pakadkar tumhe bus me sote hue bas dekhte rehna yaad aata hai….
Tumhara wo apni zulfo ko jaanbuchkar apne gaalopese fisalne dena aur fir mera un zulfo ko tumhare kaan ke piche karna yaad aata hai….

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain 
Tumne muje batayi hui wo sab baatein yaad aati hai jo tumne muje ye kehkar batayi thi ki 'Aaj tak kisiko nahi batayi..!!'....
Tumhare sath wo college ke reading room me bitaye pal yaad aate hai....
Tumhare ruth jaane par mera wo tumhe manana yaad aata hai....
Aur agar main ruth jau to tumhara wo Cancer wala bahana banakar muje manana yaad aata hai....
Jaanta hoon lautkar nahi aanewale wo sabhi pal....
Par naa jaane kyun tumhaari yaad aati hai..!!😢

#tumhari_yaad_aati_hai💔

Kashish Desai

Ink and Pain Tumhare saath baatein karte karte wo shaamo ko raate kar dena yaad aata hai....
Subah uthkar sabse pehle mera wo tumhe special wala 'Good Morning' ka message bhejna yaad aata hai....
Tumhare call ka wo pagalo ki tarah intezaar karna yaad aata hai....
Halaki tumhara intezaar aajbhi hai aur hamesha rahega..!!❤️

#tumhari_yaad_aati_hai💔

#forever$-11❤️
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile