Nojoto: Largest Storytelling Platform
namelesswonder2924
  • 14Stories
  • 93Followers
  • 103Love
    933Views

the Poetic quill

insta: rahul_rathore009 qurantine did this to me side hustle all poems written by me.

  • Popular
  • Latest
  • Video
aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Nazariya 
#world #Insaniyat #Poet #kahani 

#Aurora
aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

mai aaj bhi tumhare sath rehna chahta hu.
#Heart #Heart_touching #BreakUp #alone #Trending #EXPLORE #poem #kavita 

#MusicalMemories
aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

akelapan ki awaaz.

#noshame

akelapan ki awaaz. #noshame #कविता

aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Jab se zindagi mai tum aayi ho
Ek nayi bahar tum layi ho
Dil ki saaf 
Neeyat bebak
Or apne umadte jazzbat dikha ke
Mujh jaise shareef ko apna kayal kar dikhayi ho 
Apni payal ki khanak se 
Deewana sa bana tum gayi ho
Begane se mere iss safar mai 
Jaise banke meri humraahi tum ayi ho
Mere iss bechain dil ki daudti dhadkan ,
Ki dor ko tum sambhal payi ho
Or
Mandir mai mulaqat kra ke jaise
Upar wale me meri manzil mujhe dikhayi ho
Ek anjan andekhi shakti ne 
Mera hath pakad ke meri raah tum tak pohchayi ho
Karke haan ab mere izhaar ka 
Tham ke iss andhere mai mera hath
Krdo wada kr nibha do sath 
Kal ki chinta ki kya hi hai baat
Upar wala hai humare sath
Upar wala hi sambhalega 
Jo ho baat
Dil saaf rakho or 
Seene ne mujhe laga lo 
Mai pyaar ka bhooka hu
Meri har bhookh ki tadap ab tum bhuja do
Meri zindagi mai aake
Rangon se bhari kitaab ise tum bana do
Or 
Tum meri shruti 
Or mujhe apna shrota bana lo





I love you 💓

©the Poetic quill if you are seeing this my lady love I want to tell you I love you so much, the depth is immeasurable, unpredictable and uncountable. 
yours RSR ❣️🤩

#welove

if you are seeing this my lady love I want to tell you I love you so much, the depth is immeasurable, unpredictable and uncountable. yours RSR ❣️🤩 #welove

aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Jab hum chote hote hai to ghar wale kitaben dilate hai lekin unhen padhna humare teachers hume sikhate hai, chalna hume ghar wale sikhate hai to ungli pakad ke rasta teachers hi dikhate hai, unke liye jitna bola jaaye utna kam hai fir bhi ek choti si koshish apni poem se kar rha hu


Rote rote aye is angan ko
Chd apne  maa ke daman ko
Naa samajh the, dare hue
Ziddi the  kafi ghabraye hue
Khoye hue the us anjaan bheed mai
Apno ki talash or ghar ki ummeed mai
Tha koi fir,
Jisne ungli thi thaami 
Bheed mai raah thi maine tab apni jaani
Zindagi ka imtehan tha aage
Lekin mera guru khada tha mere piche
Kitaabi gyaan tha unhone samjhaya
Bhala Bura bhi mujhe shikaya
Zarurat padhne pr danda lagaya
Kalam-dawat bhi sath pakdaya
Roshan krke mera rasta mujhe dikhaya.
Zindagi jeene ka tarika btaya
Esa kuch mere guru ne mujhe padhaya
Zindagi mai fir roshani ayi
Mere kal ki mazboot neev banayi
Jitna bolu utna kam hai
Mere guru ke liye kitaab bhi likh du to kam hai
Jawani ki iss dagar mai 
Naukri paane ki agar magar mai
Mere guru the sath mere is safar mai
Banke saya the wo khade mere uss peher mai
Aaj jo maine apna mukaam dekh paya hai
Wajha hai piche chala  mere guru ka saya hai
Di hui unki seekh se 
Maine apna mukaam dekh paya hai . teachers day

#CityEvening
aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Peirods
Ladki hu mai
Andar se mazboot 
Dil se diler hu mai
Pet ka wo dard haste haste seh jati hu
Bina asnu sara dukh jhel jati hu
Koi puche to bta deti hu
Beemar hu thoda dard hai bas
Or muskura ke baton mai tall deti hu
Fir bhi duniya kamzor kehti
Laal rang ko sharmindgi ka pallu kehti 
Maa isko duniya se chupane ko kehti
Kisi ko bhi na btaane ko kehti 
Mandir masjid bhi rok lagati
Or
Ye sirf mahavari hi to  hai
Arry Laal rang hi to hai 
Koi beemari thodi hai
Isi laal rang se gharon mai kilkari gunjti
Isi se saari raunak aati 
Ye laal rang un kilkari ki sauhbat hi to hai.
Itna sab jab haste haste sehti
 To kaise kidar mai kamzori ki sahabat hoti 
 Har ek ladki to devi ka wo ruup hoti
 Sabko janne wali mata ka Swaroop hoti #inspireThroughWriting #periodspain #periods #girlpower #Feminist
aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Hum bacche hi ache the

Hum bacche hi ache the 
School mai padhte
Hum wo masoom hi ache the
Aansu baha  dil halka krne mai na katrate the
Chote shareef hum jazbaati hi ache the
 Homework na karne pr 
 Teacher ki maar se ghabrate 
 Ek dusre se aage nikalne ki daud mai
 Khoob padhte hum padhaku hi ache the
 Lunch se pehle dabba khali kr
 Lunch mai Dosto ke sath bakaiti karte
 Hum chote shararti hi ache the
 Pet dard ka bahana banate
 School na jane ki zid karte 
 Hum wo ziddi hi ache the
 Dheere dheere bade hote 
 Dosti ko sabse upr rakh
 Yaari nibhane wale 
 Hum wo chand yaar hi ache the
 Ek dusre ko support krte 
 Homework pura hone pr bhi
 Dost ke punishment ke sehbaagi bante 
 Sath khade wo dost hi ache the.
 Masumiyat mai pyaar mai padhne wale 
 Izhaar krne se sharman wale.
 Chori chhupe dekhne wale
 Hum wo sharmile hi ache the
 Fir dheere dheere bade hue
 Samjhdar bhi thode boht hue
 Number lane ki daud mai bhagne wale
 Kya ese samjhdar hum ache the??
 School bhi fir khatam hua
 Akhri din sabka mail hua
 Ek dusre ko zindagi bhar yaad rakhne ka jhoota wada kiya
 Kya hum wo jhoote ache the?
 Aaj ke bhagam bhag mai
 Jab baith kr school ki yaad ayi
 Laga bekaar hi bade ho gaye 
 Hum to bache hi ache the. #feather #Student #hum #bachpan  Mahendra Sinha Aakansha Rathore Ambika(Anu)💛

#feather #Student #Hum #bachpan Mahendra Sinha Aakansha Rathore Ambika(Anu)💛 #कविता

aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Mai dubara ishq nahi kar sakta.

Mai dubara ishq nahi kr sakta
Fir se vish nahi pi sakta
Ek baar barbad ho chuka hu 
Fir se abaadi ka jhoota Sapna nahi dekh sakta
Us sapne ko Sapna hi rehne do
Mai us sapne mai apna andhkar dekh sakta hu. 
Apne hisse ka pyaar laga ke dekh chuka hu 
Ab Jhoothe pyaar ka dikhava nahi kar sakta 
Kisi ke sath jhutha sansar nahi basa sakta
Tha koi,
Jise kho chuka hu 
Ab firse tumhe paake
Khud ko nahi kho sakta 
Azmaya gya hu ishq mai boht baar,
Firse apne pyaar ki imtehan nahi de sakta,
Tuta hua hu mai andar se,
Kisi ki hamdardi ka shikar hote khud ko nahi dekh sakta.
Tum apne ishq ka Izhar karoge,
Mai pighal jaunga, apne aap ko girne se nahi bacha paunga
Khudko firse girta hua mai nahi dekh sakta.
Mujhse duri bana lo, 
Naahi to mere aansuo ki tumhare sath dosti ho jayegi,
Or mai kisi ke samne kamzor hota nahi dekh sakta. 
Badnam ho chuka hu kisi ki kahaniyon mai main is kadar,
Ki ab khud ko sabki aankho ka dushman hote nhi dekh sakta.
Mujhe maaf karo,
Mai dubara ishq nahi kar sakta. #mai_dubara_ishq_nahi_kar_sakta
#broken #lovestory #breakup  Nehal  Aakansha Rathore Ambika(Anu)💛  Author Shakti Tiwari Eisha mahi

#mai_dubara_ishq_nahi_kar_sakta #Broken #LoveStory #BreakUp Nehal Aakansha Rathore Ambika(Anu)💛 Author Shakti Tiwari Eisha mahi

aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

Haseen shaam ho rahi hai,
Barsat bhi halki halki ho rhi hai
Raat bhi angdayi le rahi hai
Or yaadon ki kitaab jawan ho rhi hai
Us kistaab ka pehla panna tum ho
Or akhri bhi beshak tum ho
Lekin ab wo kitaab kisi or ki ho rahi hai
Us kitaab ka kirdar bhi tum ho
Pr tum to kisi or ki ho hi chuki ho
Ek nayi kitaab mai
Tum apna kirdar to ache se nibha rahi ho?
Meri buraiyon ka pul to ache se band rahi ho?
Mere diye hue dard ko to byaan kar rahi ho?
Kya uske bhi seene pr sir rakh ke ro rahi ho
Or keh rahi ho ki "maine kitna bura kiya tumhare sath"
Aaj bhi apni shararat se usko rijha rahi ho?
Apni masumiyat se usko sapne dikha rahi ho?
kisi anjaan ki  zindagi ko abaad kar rahi ho? isko bhi meri tarha to kahi barbad nahi kar rahi ho?
Shehar mai Shayar boht ho rhe hai!
Sabka tum hi shikar kar rahi ho?
Lekin Apne manoranjan ke liye 
Pyaar ko kyu badnaam kr rahi ho?
Apne aapko heer ka galat kirdar bata kar!
Bewafaai ka alam kya khoob dikha  rahi ho
Khoobsurat to boht lag rahi ho!
Lekin dil se badsurat nazar aa rahi ho
Or apna jhoota pyaar to ache se nibha rahi ho?
Ya firse kisiko tbha karne ka Sapna saja rahi ho
Itni tezz to samundar ki lehar bhi nahi behati
Tum kyu apni raftaar badha rahi ho 
Or pure sehar ko apna asli chehra kyu dikha rahi ho.? A letter to my dear ex
#RaysOfHope #Ex #Love 
#LoveStory #Broken #brokenwords #mid #Break Aakansha Rathore @j
 Nehal  Praveen Chandra Mahendra Sinha Indian Empty Rapper 🎤

A letter to my dear ex #RaysOfHope #Ex #Love #LoveStory #Broken #brokenwords #mid #Break Aakansha Rathore @j Nehal Praveen Chandra Mahendra Sinha Indian Empty Rapper 🎤 #अनुभव

aa41dbf09da0691451ce444a1aa649ce

the Poetic quill

राणा का साहस तो सबने पढ़ा।
चेतक भी कहां कम पड़ा।।
हाथी की वेषभूषा में।
रण मै वीरता का प्रतीक खड़ा।।
बिजली की गति लेके,
दुश्मन के विपरित खड़ा।? 
200 किलो का वजन लेके
फुर्तीला वो वीर खड़ा।
रण मै वीरता का प्रतीक खड़ा।
चेतक भी भला कहां कम पड़ा।।
राणा के इशारे पर ।
मातृभूमि का वो वीर लड़ा।।
घायल राणा को लेके।
26 फुट का दरिया कूद
बिजली की रफ्तार भगा।।
चेतक भी कंहा कम पड़ा।।
राणा को बचा,
खुद दम तोड़ वो,,
मेवाड़ी वीर बना।
अशवो की वफादारी का
चेतक  प्रतीक बना।
जब जब राणा का गुण गान होगा।
चेतक तेरा भी बखान होगा।।
          ✒️राहुल राठौर #Star #HumBolenge #chetak #maharana #Rana #Name #namelesswonder #namelesswanderer #midnightthought #Midnight Special Aakansha Rathore
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile