Nojoto: Largest Storytelling Platform
raheeb8913320209284
  • 79Stories
  • 787Followers
  • 1.1KLove
    56.5KViews

Raheeb

insta id @shayar_raheeb

  • Popular
  • Latest
  • Video
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Husn-e-tasavvur jo karti hai bayaan, 

shayaron ki tu faqat woh shayari hogi.

Teri saadgi, teri ada, tere lafzon ko sunkar bani mausiqi
hogi. 
Bakhuda khoobsurati ki tu aisi misaal hogi.

Is jahan ka tu azal-e-mojiza,

Na jannat ki hoorein tere jaisi hogi.



~Raheeb















.

©Raheeb #hugday #Shayari #Shayar #Nojoto #SAD
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Aaina kya dega tere husn ki gawahi, khuda ne aankhon ko bhi woh martaba nahi diya.

Zamaane se chaand se mukhatib hota raha hai mehboob. Mere ishq ki inteha toh dekh, maine chaand ko bhi woh darja nahi diya. 

~Raheeb

























.

©Raheeb
  #loversday #Love #mohabbat #Nojoto #Shayari #Gulzar #Ghalib #ishq
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Woh khoobsurat hai itna ke aayena bhi usey dekhne ki ijaazat maangta hoga.
Kuch yun banaya hai khuda ne usko ke aasman se chaand bhi jhaank ta hoga.
Nayaab uski kashish hai raheeb, ke marne wala bhi aakhri
khwahish mey usey maangta hoga.
Muntazir aankho ka khatam jaane kab ye faasla hoga,
Ke jannat ko jo jaata hai tu woh raasta hoga.


~Raheeb


















.

©Raheeb #khoobsurat #poem #Shayar #Shayari #ghazal #Gulzar #Nojoto #Shayar #Love #Beauty
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Baaton mey uska mizaaj dekha,
Har lafz mey chupa masoom ik andaaz dekha,
Chehra dilkash, aankho mey 
Ehsaas-e-khaas dekha.

~Raheeb

















.

©Raheeb #UskiAankhein
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Mehfil saji hai tum jaam le aao.
Maine aangan sajaya hai tum shaam
le aao.
Shahr-e-ishq mey bada andhera hai,
Tum aate hue chehre pe muskaan le aao.    
                        
     ~Raheeb















.

©Raheeb #booklover #ishq #mohabbat #Love #pyaar #Nojoto #viral #Shayari
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Apne bigdein aaj ka maine hal dekha hai.
Teri aankhon mey apna
Kal dekha hai.
Wasi ik shehar, mohabbat ka ghar, wafa ka aangan dekha hai,
Jaan-e-raheeb haayee, jabse tumhe aankh bhar dekha hai.
Ishq-e-halaal ka dilkash maine hashr
dekha hai,
Azal-e-mohabbat se bakhuda maine nikaah ka safar dekha hai.
Intezaar se kehdo ke ab shikayat nahi hai koi,maine apne
sabr ka phal dekha hai.














~Raheeb

©Raheeb #mohabbat #ishq #Live #Love #Shayar #Gulzar #ghazal #Poet #Poetry #Nojoto
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Jhoot kehte hai log 
ke tu hai shayar ki ghazal, Ik umr lagegi likhne tujhsi daastan.
Elan-e-ishq se yun roshan kar zameen ke fizayen ye paigham lejaye,
koi chamkega nahi aaj aye chaand taaron tumhe aasmaan ka vaasta.
Khuda ka nayaab tohfa mere kamre mey hayee kitna haseen hai ye haadsa.
Ik umr ki udasi hojayegi ojhal, 
zara mai bhi dekhu raheeb mera khushiyon se kitna hai faasla.
Zara muskurado meri jaan toh dikhe jannat ka raasta.










                                            ~Raheeb

©Raheeb #Shayari #Love #mohabbat #ishq #Gulzar #Nojoto 
#urdu
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Zor-e-tabassum kuch yun chalaya usne,
Kalam se mere be-ghar hui siyahi.
Rangne tareef-e-mehboob mey tarasgayi thi kitaabein, ke chhidi har panne mey
ik ladai.










~Raheeb

©Raheeb #mohabbat #ishq #Love #Shayar #Shayari #Nojoto 

#Thoughts
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Aashiqui hai sazaa aashiqui hai dawa. itr ik pal lage aur pal mey be-mazaa.
Aashiqui zikr hai aashiqui daastan. ik nazar ka asar aur kabhi bezubaan.
Zakhm deta hai itne ke mat poochiye Koi ghayal hua toh koi chalbasa.
Aashiqui hai dua, aashiqui baddua. Ishq haasil na kar paaye toh kya hua,
Shukr maano ke saansein hai ab tak rawa.
Jisne haasil kiya woh wahi margaya. Aashiqui dard hai aashiqui mojaza.
Ranjishon ki lehren dubalegayi, koi aatish-e-gham 
mey jalgaya.
Aashiqui shaam hai aashiqui hai subha. Aashiqui zindagi aur kabr ka raasta.
Aashiqui hai sazaa aashiqui hai dawa.







.

©Raheeb #mohabbat #Poet #Love #ishq #Shayar #Shayari #Nojoto 
#think
dbe2da91f5aa53d6358ceac62fef0092

Raheeb

Meri gali ne phool bichaye hai raah-e-vasl ke intezar mey,
 tum aaogey na?
Tere shehar mey rehkar teri gali se kabhi guzra nahi, aatish-e-ulfat ne agar
ada-e-sharm ki zanjeer todi, toh nazar milaogey na?
Tamanna-e-qurbat ka thoda sa 
ehteram karde,
mere har badhte kadam se tum bhi 
paas aaogey na?
Kehta hai zamaana jurm-e-mohabbat mey rihayi nahi hoti, 
Aye qaatil mere tum sazaa 
dene aaogey na?
Ik roz badi bebaki se usne kaha ik umr guzarjayegi yun hi intezar mey, 
Ke maine bhi muskurakar poocha,uss umr ke guzarjaane par tum aaogey na?
Meri gali ne phool bichaye hai raah-e-vasl ke intezaar mey, 
meri jaan tum aaogey na?





 
                                                ~Raheeb

©Raheeb Meri jaan, tum aaogey na? 💕

#your #mohabbat #Love #ishq #Shayar #Shayari #Nojoto #pyaar #Poet #Poetry

Meri jaan, tum aaogey na? 💕 #your #mohabbat Love #ishq #Shayar Shayari #pyaar #Poet #Poetry

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile