Nojoto: Largest Storytelling Platform

New derayah reit Quotes, Status, Photo, Video

Find the Latest Status about derayah reit from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, derayah reit.

    LatestPopularVideo

Mmm malwinder

reit## #films

read more

Kayenat Kamal

Reit ki deewar. #kayenatdiaries# #poem

read more
Reit ki deewar

Bewafa kahoon tujhe ya sang dili ka khitaab doon.
Ya naa- qaabil-e- aitbaar keh ke bas ik baar nawaaz doon.
Tu to mere aziz-o-tar se zyada aziz tha mujhe,
Teri mukhlisi ka behadd yakee'n tha mujhe.
Phir bata dil azari ka kaise tujhpe ilzaam doon.
Wada-e-khalqi sukoon deta hai kya?
Etemaad mein izafa-e-junoon deta hai kya?
Ab tasadum ye hai ke naam-e-mohabbat pe roun ya anjaam pe hans doon.
Belouss mohabbat ke tassawwur-o-khayal pe hans doon.
Balafz tere muqammal ghazal thi main,
Tere baab-e-ishq ka tarasha kamal thi main.
Jaanti hoon mamooli hoon, ab makhsoos nahi main.
Meyaar-e-khabton mein hoon, na ab Dana rahi main.
Phir kyun tujhpe chahat apni main vaar doon.
Majbooriyon ka haath thamey mohabbat chhod di tune.
"Talkh halaaton mein hoon uljha"-keh ke raghbat chhod di tune.
Ab sochti hoon main bhi kam zarf hone ka tajarba kar hi loon.
Hubaab-e-hawas ban dil ko bhar hi loon.
Teri talkhiyan tujhe hi lauta ke khaas-o-aam ke darmiyan khada kar hi doon.
Ab waadein khalq kar doon, jazbaton ko ghark kar doon..
Khudgharzi ki hadd ban jaoon.
Usoolon ko tarq kar doon.
Main ho jaoon aseer-e-zabt,
Yun tamam nafs-e-jurm se khudko riha kar doon.
Malaal-e-dil ko alvida kar doon.
       ....kyuki main ab reit ki deewar nahi ban sakti; 
Mujhe toot jaane se khauf aata hai.

©️kayenat kamal. Reit ki deewar. 
#kayenatdiaries#

Richshamp

reit hu bhigone vala barish ki bund na bn #कविता

read more
Main reit hu
 tu mujhe bhigone vala barish ki bund na bn..
Main hawao ke sath udane vala,
tu muthi me bharne vala Mera baap na bn..
Chhut jaunga teri muthi se aur  bn jaunga reit tere aankho me chubhne vala
Tera baap hu ,
badalo ki tarah mere uper saya na bnn
Main reit hu tu bhigone vala Mera baap na bn reit hu bhigone vala barish ki bund na bn

Ž@£K

سید رحیب علی کوثر جعفری

tapta suraj, reit ka darya surkh ujale, kaali raat jaane kaise is dharti pr rahte hain insaan nah puchh# #Shayari

read more
jhoot dagha, nafrat aur rishvat 
zehnon keh nilaam hue hain 
aur tarazu men sone kay
tulte hain imaan nah puchh 

daulat shohrat qatl tabahi 
kya kya pahchan nah puchh
aaj wafa kay afsanon kay 
kitne hain unvaan nah puchh tapta suraj, reit ka darya
surkh ujale, kaali raat
jaane kaise is dharti pr
rahte hain insaan nah puchh#
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile