Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best Shikayat_mat_kar Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best Shikayat_mat_kar Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about hi shikayat hai, dakiye ki shikayat patra in hindi, unko ye shikayat hai, apno ne diya hai dhokha gairo se shikayat kya, shikayat hai status,

  • 1 Followers
  • 1 Stories

Sultan Mirza

{Dil ki baat Series part 2)

--------#Shikayat_mat_kar 👇👇👇
• Apni qismat ki
• Aoulad k samne apne badon ki.
• Apna zati makan hote huwe makan ki tangi ki.
• Bhool kar bhi apne Maa Baap aur ustad ki.
• Gair k samne apne dost ki.
• Biwi k samne un k ghar walon ki.
• Rokhsat karne k baad apne mehman ki.

------------ #Mat_Kar 👇👇👇🏾👇👇
• Irshad khudawandi aur Ahkam Rabbani se kinara kashi.
• Sunnat Nabwi s.a.w se Ai’teraz.
• Kisi per zulm
• Haq baat se inkar.
• Bagair Etemad k kisi per bharosa.
• Bagair mashware k koi kaam.
• Kisi per nokta chini.
• Rishtadaron se qata tal’luqi.
• Hajat mand rishtedar ko na ummeed.
• Peeth k piche kisi ki burai.
• Kisi k kehne per sonche samjhe bagair aml.

• Jab Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton sonchna Mukhtasar bolna

Allah ki Dosti us shaksh k dil me nahi ho sakti jis k dil me Allah ki Makhlooq ki #Mohabbat_aur_khair_khwahi_na_ho.

• Sacchi dosti ye hai k Muflisi me dost ki zyada madat ki jayen.

• Jis ne Quran pak ko samajh liya goya us ne Duniya o Aakhirat ko palia.

• Buland iradon k Alawa howsla bhi zaroori hota hai.

• Azeem hai wo dil jis me doosron k liye dard ka Ehsas ho.

• Bharosa aik aisa phool hai jo shak ki bo soongte hi murjha jata hai.

• Ilm ye hai k agar koi tum per Zulm kare to use muaaf kardo.

• Bahtareen kalam wo hai jis se sunne wale ko malal na ho.
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
• Khamushi aaib nahi bal k be wajah bolna aaib hai.
• (Aalim) ilm se pehchana jata hai.
• (Muttaqi) taqwe se pehchana jata hai.
• (Momin) Josh iman se pehchana jata hai.
• (Insan) Apne kirdar se pehchana jata hai.
• (Dost) Waqt padhne per Pehchane jate hain.
• (Dushman) Tanhai me pehchana jata hai.
• (Sipahi) Maidane kar saaz me pehchana jata hai.
• (Tabeeb) apne tajrube aur qabiliyat se pehchana jata hai.
• (Dana) apni aqalmandi aur danishwari ki buniyad per pehchana jata hai.
• (Jahel) apne jahel ki wajeh se pehchana jata hi.
Jazakhallah khair

©Sultan Mirza


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile