Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best medicosahil Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best medicosahil Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about

  • 1 Followers
  • 9 Stories

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

jaruri hai || a little try"alfaz by sahil || #jarurihai #jaruri #jaruri_hai #jaruripoem #medicosahil #jaruri_ye_hai

read more
     "jaruri hai"

khamoshi ko samjhna bhi jaruri hai
waqt ke sath dhalna bhi jaruri hai..

chand minto me badl jate h yha riste..
risto ki es daur me risto ki ahmiyat bhi jaruri hai 

milti nahi yakinan zindgi me har chiz
zindagi me kuch kami bhi jaruri hai..

dard bhi hota h khusiya bhi aati hai..
zindagi ki is aarju me yuhi chalna bhi jaruri hai..

jiske dil m ho kuch dard wo hi Jan skta h..
par thoda hi shi jajbat smjne ka hunar bhi jaruri hai..

kabhi aankho me nami kabhi bato me kami
in Sab bato ka masla samj pana bhi jaruri hai..

zindagi ki is race me har koi jaldi me hai 
par kabhi kabhi risto me rukna bhi jaruri hai

kabhi Hasna kbhi Rona kbhi ruthna manana
insaniyat k khatir hi shi rutho ko manana bhi jaruri hai

manjil pas ho ya dur..milegi "yakinan"
us tak pahuchne ke liye raste pe chalna jaruri hai..

                                             a little try"alfaz" by sahil ✍✍💐💐 jaruri hai || a little try"alfaz by sahil || #jarurihai #jaruri #jaruri_hai #jaruripoem #medicosahil #jaruri_ye_hai

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

badlata nahi hai koi ye waqt badlna Sikha deta hai|| a little try"alfaz by sahil || #Poetry #changepoetry #changesinlife #changesin2020 #changesself #medicosahil #badlanapoem #Badlana_pada #changesarepartoflife #changethinking

read more
   "badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai"

halaat insan ko tanhai me jeena sikha deta hai..
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

sache risto me aksar milti nahi hai manzil..
ye waqt he janab insan ko hr haal me chalna sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

ruhani bato ka raaj bhi kabhi kabhi insan samj nhi pata
khud pe gujar jaye agar to waqt unke mayne Sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

kuch raaj ko raaj rkhna bhi adakari hi to hai..
iss ajnabi duniya me..hr anjan bhi kuch na kuch sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

khamoshi ki bhi ek alg hi juban hoti hai
wo alfaz niklte nhi he bahar par bhut kuch sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

har saqs hai yha mashroof apni apni zindagi me..
par ye waqt unko samy ke sath chalna sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

khayali duniya or asal duniya me kuch fark hota hai yakinan 
jab chand or suraj dhalta h to wo bhut kuch sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

insan ki fitrat hrdam badlti he wo wajib bhi to hai..
kyuki zindagi k imtehaan unko bhut kuch sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

chandni raat ki roshni me bethkar sochta hu aksar
dil me dabe chand alfaz bhi bhut kuch sikha deta hai
badlta nahi hai koi ye waqt badalna sikha deta hai..

                                                  a little try"alfaz by sahil✍✍🌺🌺 badlata nahi hai koi ye waqt badlna Sikha deta hai|| a little try"alfaz by sahil || #poetry #changepoetry #changesinlife #changesin2020 #changesself
#medicosahil #badlanapoem #Badlana_pada #changesarepartoflife #changethinking

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

zindagi ki kahani badal hi jayegi || a little try"alfaz by sahil || #Poetry #poetryalone #Zindagi #Zindagipoem #Zindagipoetry #zindagi_ke_musafir #medicosahil #zindagi_gulzar_hai

read more
 






        *zindagi ki kahani badal hi jayegi*

zindagi di hai khuda ne yha pareshaniya to aayegi
aaj agar gum he.. to sbr rakh bande..
teri pareshani kabhi na kabhi khtm ho hi jayegi..
waqt zaya na kar yuhi es taur ae zindagi me
himmat rakh ek din zindagi ki kahani badal hi jayegi..

kyu krta h waqt ka intjar kisi kam ke hone me
waqt ek sa nahi rhta harpal waqt ki dastan ek din badal hi jayegi
rat ke es andhere me tu akela nhi h, chand bhi tere sath he..
kuch rat or dhalne de rat me chand ki roshni bhi jagmgayegi
samndar he gahra bhut es zindagi ka..
kuch waqt bitega to lahre kinare pe jarur aayegi..

aankho me nami ho ,ya dil me koi raaj
dil ki ye raaj ki dastan bhi kbhi katm ho hi jayegi

ruhani isq or jismani bato me koi antar to hota hi he sayd..
insan agar alfaz hi nhi jajbat bhi smjne lge to ye bat bhi smj zaroor aayegi...
batkna bhi zaroori hai is zindagi ki "kashmkash" me
tabhi to insaniyat or ruhaniyat ki kadar samj aayegi

                                        a little try "alfaz" by sahil ✍✍ 🌺🌺 zindagi ki kahani badal hi jayegi  || a little try"alfaz by sahil || #poetry #poetryalone #Zindagi #Zindagipoem #Zindagipoetry  #zindagi_ke_musafir #medicosahil #zindagi_gulzar_hai

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

meri maa || a little try"alfaz by sahil || #maapoetry #MothersDay #motherspoetry #Mothersdayspecial #medicosahil #poem

read more
        "meri maa"

itna pyar krti hai par fir bhi kabhi jatati nahi maa..
hajar galtiyo par bhi kabhi bache ko rulati nahi maa..

tu hi he mandir tu hi hai masjid
tu hi hai pooja tu hi he roja
tu hi hai shakti tu hi hai bhakti
jisne hame chalna sikhaya 
jisne hame bolna sikhaya

me agar ruthu to manati hai maa 
me agar rou to hasati hai maa
har kadam par sath nibhati hai maa
bacho k khatir hazar gum bhi sah jati hai maa

insan agar dil se kadar kare maa ki to wo nikhar jata hai 
or maa ki duaa or aachal se har gum bhi bhikar jata hai

jiske kadmo me h "jannat" hai socho uske sar ka mukam kya hoga
jab maa nahi hogi gharo me to us ghar ka "intkam" kya hoga

maa naraj he ghar me to khuda khush ho nhi skta
maa tere dudh ka hak hamse ada ho nhi skta..
maa tere dudh ka hak hamse ada ho nhi skta..

                                          a little try"alfaz" by sahil✍✍🌺🌺 meri maa || a little try"alfaz by sahil || #maapoetry #mothersday #motherspoetry #Mothersdayspecial #medicosahil

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

dost kahlate hai || a little try"alfaz by sahil #friendspoem #friendspoetey #friendsforever #Friendship #Dosti #dostpoetry #medicosahil

read more
    *dost kahlate hai*

kuch log bina risto ke bhi riste nibhate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

dosto k khatir ladai or maar bhi kha jate hai
kya dard h kya khusi hai bina btaye Jan jate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

har pareshani me wo phle aage aate hai
bina bataye dost k sath gumne ka plan bnate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

dost agar roye to use haste or hasate hai
kbhi yha to kbhi waha gumne jo sath jate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

kbhi kentin to kabhi chai wo sath pine jate hai
dosto se ldte hai or fir yuhi man jate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

college me lunch or masti bhi sath kr jate hai
dosto ki tang khichne me sukun jo pate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

ruhani rista hota h unme wo jismo m na ulaj pate hai
diwali ho ya eid wo milkar sath manate hai
sayad wo hi log aakhir sachee dost kahlate hai..

teachers se class me milkar question krne jate hai
ladna jagdna to chlta hai unme fir bhi sath nibhate hai
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

cahe kitni bhi duriya ho unme fir bhi yad wo aate hai
sayd wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..
sayad wo hi log aakhir sache dost kahlate hai..

                                                 a little try"alfaz" by sahil✍✍🌺🌺 dost kahlate hai || a little  try"alfaz by sahil #friendspoem #friendspoetey #friendsforever #Friendship #Dosti #dostpoetry #medicosahil

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

baat nahi hai || a little try"alfaz by sahil || #poetry_voiceofsoul #Poetry #poemoftheday #medicosahil #sahilpoetry

read more
     "bat nahi hai"

yade maslsal aati rahegi magar
Jane walo se ab wo mulakat nahi hai..

bat kro ya na kro ye alg baat hai unse
par yakinan in bato m ab wo bat nahi hai..

rat bhar jgna or so kar uth jana
sukun se sone jesi ab wo raat nahi hai..

purani yado ka silsila jaari hai masalsal
par ab koi nayi yad aaye esi koi bat nahi hai..

dimagi khyal m to ab bhi hai wo salamat
pr dil khta h Jane do ab usme wo bat nahi hai..

waqt to pal bhar me badal jata hai yaar
koi hr pl ek sa rhe esi kisi saqs m bat nahi hai..

aaj fir ye socha is chandni rat me bethkar
jane wale m ab wo bat nahi hai..
jane wale m ab wo bat nahi hai..
                           
                                                a little try"alfaz" by sahil ✍✍🌺🌺 baat nahi hai || a little try"alfaz by sahil || #poetry_voiceofsoul #poetry #poemoftheday #medicosahil #sahilpoetry

dr.sahil physio "alfaz"✍✍

      "mere papa"

ghar ki "Ronak" or "muskan" ho papa..
hamari aan ho baan ho San ho papa..

kya likhu aapke bare me sabd km hai..
aap hi to hamari "pahchan" ho papa..

hamesha dete ho sath pr kabhi jatate nahi..
aapko kya problem h hamse kabhi batate nahi..

aapki hi gaud aur kandho me bade hue he hum
aapke is laad or pyar se hi aaj khade hue he hum

bachpan me wo school lene ko aana
or bike p beth ke Khub galiyo me gumana

choti choti galtiyo pe smjate ho aap
bina kahe hamari jarurate samj jate ho aap 

aap ki duaa se har mushkil aasan hai..
aap hai to hr smsya ka samadhan hai..

khud ka kbhi sochte nhi pr bacho k liye dete ho jaan
aap hi ho papa duniya me ek saks mahan

zindagi ka anubhav or gyan bhi shikhate ho..
ye duniya kesi he hame ehsas bhi karate ho..

itna kuch karte ho papa fir bhi thakte nahi ho..
bache khush rahe isliye kabhi rukte nahi ho..

ghar ki hasi or muskan ho papa..
aap hi darti or aasman ho papa..

aap sakti ho saan ho abhiman ho..papa
hamare liye to aap hi sara jahan ho..papa 
                             
                                               a little try"alfaz by sahil✍✍💐💐 #FathersDay #fathersdaypoetry #fatherspoem #merepapa #papa #papapoem #Poetry #medicosahil


About Nojoto   |   Team Nojoto   |   Contact Us
Creator Monetization   |   Creator Academy   |  Get Famous & Awards   |   Leaderboard
Terms & Conditions  |  Privacy Policy   |  Purchase & Payment Policy   |  Guidelines   |  DMCA Policy   |  Directory   |  Bug Bounty Program
© NJT Network Private Limited

Follow us on social media:

For Best Experience, Download Nojoto

Home
Explore
Events
Notification
Profile