Nojoto: Largest Storytelling Platform

New ubaidullah ibn abbas Quotes, Status, Photo, Video

Find the Latest Status about ubaidullah ibn abbas from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, ubaidullah ibn abbas.

Stories related to ubaidullah ibn abbas

    LatestPopularVideo

Mohammad Ubaidullah

Mohammad Ubaidullah

read more
ya
 Mustafa 
marhaba
marhaba Mohammad Ubaidullah

Mohd Arsh malik

poet ubaidullah Aleem #youandme

read more
Hijr karte ya koi wasl guzara karte 
hum bahar haal basar khwab tumhara karte

Aik aisi bhai ghari ishq mein aai thi k hum 
khak  ko hath lagaate to sitara karte

Ab to mil jaao humein tum ki tunhaari khatir 
itni door aa gae duniya se kinara karte

mehw-e-araish-e-rukh hai wo qayamat sare-e-baam 
ankh ager aaina hoti ho nazara karte

Aik chehre mein to mumkin nahi itne chehre 
kis se karte jo koi ishq dubara karte

jab hai ye khana -e- dil apki khalwat ke liye 
phir koi aae yahan kaise gawara karte

kon rakhta andhere mein diya aankh mein khwab 
Teri jaanib hi tere log ishara karte

zarf-e-aina  kahan aur tera husn kahan 
hum tere chehre se aania sanwara karte

©Mohd Arsh malik poet ubaidullah Aleem

#youandme

Mohd Arsh malik

poet ubaidullah aleem #Rose

read more
aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e 

ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e 

mile haiñ yuuñ to bahut aao ab mileñ yuuñ bhī 

ki ruuh garmi-e-anfās se pighal jaa.e 

mohabbatoñ meñ ajab hai diloñ ko dhaḌkā sā 

ki jaane kaun kahāñ rāsta badal jaa.e 

zahe vo dil jo tamannā-e-tāza-tar meñ rahe 

ḳhoshā vo umr jo ḳhvāboñ hī meñ bahal jaa.e 

maiñ vo charāġh sar-e-rahguzār-e-duniyā huuñ 

jo apnī zaat kī tanhā.iyoñ meñ jal jaa.e 

har ek lahza yahī aarzū yahī hasrat 

jo aag dil meñ hai vo sher meñ bhī Dhal jaa.e

©Mohd Arsh malik poet ubaidullah aleem 

#Rose

Mohd Arsh malik

ubaidullah aleem Poet #Journey

read more
कुछ इश्क़ था कुछ मजबूरी थी सो मैं ने जीवन वार दिया 

मैं कैसा ज़िंदा आदमी था इक शख़्स ने मुझ को मार दिया 

इक सब्ज़ शाख़ गुलाब की था इक दुनिया अपने ख़्वाब की था 

वो एक बहार जो आई नहीं उस के लिए सब कुछ हार दिया 

ये सजा-सजाया घर साथी मिरी ज़ात नहीं मिरा हाल नहीं 

ऐ काश कभी तुम जान सको जो इस सुख ने आज़ार दिया 

मैं खुली हुई इक सच्चाई मुझे जानने वाले जानते हैं 

मैं ने किन लोगों से नफ़रत की और किन लोगों को प्यार दिया 

वो इश्क़ बहुत मुश्किल था मगर आसान न था यूँ जीना भी 

उस इश्क़ ने ज़िंदा रहने का मुझे ज़र्फ़ दिया पिंदार दिया 

मैं रोता हूँ और आसमान से तारे टूटते देखता हूँ 

उन लोगों पर जिन लोगों ने मिरे लोगों को आज़ार दिया 

मिरे बच्चों को अल्लाह रखे इन ताज़ा हवा के झोंकों ने 

मैं ख़ुश्क पेड़ ख़िज़ाँ का था मुझे कैसा बर्ग-ओ-बार दिया

©Mohd Arsh malik ubaidullah aleem Poet

#Journey

Farah

Ibn e hub #Shayari

read more
jis se shiddat wala 
mohabbat ho usko kabhi 
sataya nahi jata.

jis ki khushi mein he
hamara sukoon mile
usko rulaya nahi jata.

log kaise apni mohabbat 
ko asani se bhul jate hai 
ay ibn e hub.

hum se to unka naam
apne dil se mitaya nahi 
jata.

©Farah Ibn e hub

asif Ak47

husain ibn ali

read more

Asim shah

ibn -e - insha

read more

Prakhar Ghildyal

ibn-e-insha

read more

Asif Asghar Ali

Ibn e Insha

read more

Rashid Sialvi

ibn e insha

read more
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile