Nojoto: Largest Storytelling Platform

New sarkash meaning in english Quotes, Status, Photo, Video

Find the Latest Status about sarkash meaning in english from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about, sarkash meaning in english.

Related Stories

    PopularLatestVideo

easy study method

Ability -ऐबीलिटी -क्षमता/योग्यता

©easy study method #English #Meaning

Kayenat Kamal

Sarkash #poem

read more
Main khudgarz utni hi hoon jitne tum.
Main kyu Waza - e - begharaz banu?
Mera lehja utna hi chashni hai jitna tumhara.
Main kyu Shaistaghi ki misaal banu?
Gar tumhein shauq - e - husn hai, 
Toh sang - e - marmar ka mehboob le aao.
Meri rukh - e - munavvar tumhari paband nahi hai.
Main fasahat ka samaan nahi hoon, hayaa ka farmaan nahi hoon.
Main tumhari Khayaal - e - yaar nahi hoon.
Tumhari ghamkhwar nahi hoon.
Main tumhari taajdari ki mahkoom nahi rahi.
Tumhari chahaton ka markaz nahi rahi. Sarkash

Kayenat Kamal

sarkash

read more
mute video

Kayenat Kamal

Sarkash #poem

read more
Haan Main Sarkash hoon, Be - usool hoon.
Main Pairvi - e - kizb - o - riyaa bhi hoon.
Unn saazon ki naqashi suroor main nahi.
Unn takhayyul mein basnewali hoor main nahi.
Main khwahishon ki ghulam hoon.
Main zinda hoon, figaar hoon.
Main burj - e - khudparasti hoon.
Main anaa ki hadd bhi ho sakti hoon.
Mumkina tum mere kareeb kabhi naa aa sako.
Chahe tum mujhe zard patton ki dheir samjho.
Main kyu armaan - e - saraab ki pehredaar banu? Sarkash

Kayenat Kamal

Sarkash #poem

read more
Tumhari bay hissi sahu'n barson,
Batao ye kaisa ahd - e -wafa tha?
Jab ki main woh sitara hoon jisne tumko mehtab kiya tha.
Main shaheen hoon, mera tajassus mujhe falak tak le jaega.
Zamane mujhe bhool bhi jaye to kya,
Ahl - e - wafa mujhe duaein denge.
Zanjeeron mein jakda wajood ek muddat se hai.
Par iss yaum - e - mazloomiyat mein gulfishan hai mehfil meri.
Yeh sadaa har - su hai. Sarkash

Kayenat Kamal

Sarkash #poem

read more
Yeh bediyan mujhe na ab rok sakengi, maktabe na ab tok sakengi.
Zulmat - e - Muaashre se hai baghawat meri.
Kamzor - o - kamzarf nahi hai tadbeer meri.
Main tumhare nazam - o - nasq ka tawaaf bhi kar chuki hoon.
Yeh ghumaan hai tumhara ki araish hai tarteeb meri. Sarkash

Ritesh Wakel

sarkash #फ़िल्म

read more
mute video

Jogindra Rabha

word meaning in hindi #English #viral #Shorts #Knowledge

read more
mute video

Jogindra Rabha

word meaning in hindi english || #post #Reels #English #Shorts #viral #Knowledge

read more
mute video

True Motivation

Today's Word
आज का शब्द





Word: Contemplation
Meaning: Deep Thought
चिंतन

©True Motivation #English #Meaning #Learn
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile