Nojoto: Largest Storytelling Platform

Best Taraste Shayari, Status, Quotes, Stories

Find the Best Taraste Shayari, Status, Quotes from top creators only on Nojoto App. Also find trending photos & videos about taraste hai hum shayari, tere apne meri kirno ko taraste hai, taraste the, taraste meaning in hindi, taraste in hindi,

  • 16 Followers
  • 62 Stories

Kumar Vimal

Zikr ki khwaish me taraste rah jate hain
Umr guzar jati khwaish na mit pati hain
Sochte hain ki tham lenge in khwaishon ko
Par yeh sulag sulag kar in khwaishon ko dahkati hain

©Kumar Vimal #Khwaish #zikr #Taraste #Umr #Guzar #tham #Sulag #Dahkati #kumarvimal 

#Nojoto

Kumar Vimal

Duaon me jinhe maangte the
Kya ab unse hoti koi baat hai
Jinke khatir pal pal taraste the
Kya ab rakhte koi lamha unke saath hai
Jo nagme gungunaya karte the
Kya ab unke saaz bhi yaad hai
Badle kaun woh ya main
Yeh badlaav hi saransh hai
Adhura tab bhi adhura ab bhi hai
Na thamti na mitati aisi yeh pyas hai

©Kumar Vimal #duaon #Baat #pal #Taraste #Nagme #saaz #Badlaav #Adhura #kumarvimal 

#Blackboard

Kumar Vimal

Kyu jo haath nahi lagta usi k liye taraste hain
Jo manzil hi nahi hamari usi k khatir daudte hain
Jane kaisi yeh ulfat hai jo sar par dha k rahte hain
Jo mumkin hi nahi usi par afsos karte rahte hain

©Kumar Vimal #haath #Taraste #manzil #daud #ulfat #mumkin #Afsos #kumarvimal 

#FadingAway

Kumar Vimal

Listen Me 
Hume guftagu ki aadat dila kar chal diye
Bekhabar the hum ab har khabar rakhne lage
Har aahat me un suru ko dhundte rahe
Aarzoo aisi jaga di ki har pal taraste rahe

©Kumar Vimal #guftagu #Aadat #bekhabar #suru #aahat #aarzoo #pal #Taraste #kumarvimal 

#listen

Anonymous Writer

Suno! Ab laut aao na,
Bohot din ho gye tumhe jee bhar ke dekhe hue,
Ye aakhe ab tumhari raahe taakti h,
Ye hath tumhe chhune ko tarste h, 
Suno! Ab laut aao na...

©Anonymous Writer #laut #Aao #suno #Taraste #aakhe

Khushi

कीमत उनसे पूछो जो महफ़िलो में दाम देकर भी, सुकून को तरसते है..!!💔🦋 #mashoor #Muft #shabd #Likhte #kimat #mehfil #sukoon #Taraste nojoto #nojoto_hindi

read more
मशहूर हूं ही कहां, 
मुफ़्त में शब्द जो लिखती हूं, 
कीमत उनसे पूछिए जनाब जो महफ़िलो में दाम देकर भी, 
सुकून को तरसते है..!

©Khushi कीमत उनसे पूछो जो महफ़िलो में दाम देकर भी, 
सुकून को तरसते है..!!💔🦋
#mashoor #muft #shabd #likhte #kimat #mehfil #sukoon #taraste #nojoto #nojoto_hindi

Kumar Vimal

Yuhi koi apna sa lagey
Yuhi woh paraye ho jaye
Yuhi koi khwabon me basey
Yuhi woh anjane ho jaye
Yuhi kisi ko sawar le
Yuhi unse dur ho jaye
Yuhi aaj hum zaroorat ban jaye
Yuhi woh beparwaah ho jaye
Yuhi tanhaiyon me taraste rahe
Yuhi andheron me aashiyan banaye

©Kumar Vimal #Yuhi #Apna #khwab #Anjane #zaroorat #beparwah #Tanhai #Taraste #kumarvimal 

#Blackboard

Ashutosh Srivastava

वक़्त के हाथों हम भी लाचार हुए जा रहे है,
कुछ संभालता नहीं और हम फिसलते जा रहे हैं,
हालात कुछ यूं हो चले हैं अब जनाब,
मिलते नहीं  वो हमसे और हम तरसते जा रहे हैं। 

"साहिल" #Hope #Waqt #halat #Taraste #lamha

मलंग

read more
Sookhi nadiyao k bare me kab sochoge Ujadte janglo k bare me kab sochoge 
Basar kar lo khud ki jindgi bhale yuhi.
 Bhavi pidi k bare me kab sochoge. 
Nadiya khud pyasi hain aaj. 
Ped khud chavn ko taraste. 
Megho me pani ki boonde nahi. 
Janwar hain awaas ko taraste 
Khanan k khauf se kkhafa hai dharti aaj machliya pani me hain pyasi tadapti
Darkhne lagi chattane nagnta se kunthit ho
Padne lagi darare bhookamp se kampit ho
Kude k dher si badalti ye dharti 
Plastic k boujh se pati ye dharti 
Aaj isey khaad ki jagah vish hai milta 
Chetrafal iska har aaye din simatta
Ganaga ka jal ab garal ban chuka hai 
Astitva in nadiyao ka ab simat chuka hai 
Ban hawa jahar ab dum ghontne lagi hai 
Jese jindgi maut k agosh me lautne lagi hai
Sawaarth me manav kuch is tarah fasa hai
Ab sametne ko uske, kuch avshesh na bacha hai.
Jaag jao need se ab bhi samay hai. 
Bacha lo jeevan ab bhi samay hai. 
Kudarat ka kahar Jane kab toot pade 
Bacha lo khud ko Kudarat se ab bhi samay hai. 
Jane kab is paratkrti se yun rista jodoge
Sookhi nadiyao k bare me kab sochoge. 
Ujadte janglo k bare me kab sochoge. Basar kar lo khud ki jindgi bhale yuhi. 
Bhavi pidi k bare me kab sochoge. 
Composed by - 
B. S. Rautela 
G. H. S. S. Okhaldhunga 
Kotabagh, Nainital 




‌

Hardik Negi

read more
Nazro pe jinki,
Hum Deedar Ko taraste the,
Nigahe mod li usne,
Aur hum use dekhne ko taraste h
loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile